Friday, March 29, 2024
HomeSliderSania Mirza badqismat khatoon

Sania Mirza badqismat khatoon

Karachi: Pakistani fast bowler Shoaib Akhtar ney Hindustani Tennis Star Sania Mirza ko bad qismat khatoon qarar diya. Shoaib Akhtar ney apne youtube channel par aik Video nashar ki jis mein unhon ne Pakistani Cricketer Shoaib Malik ki ahliya Sania Mirza ki himayat karte huwe kaha ke mein samjhta hon Sania Mirza ki bad qismati hai ke inhen bilaa wajah Hindustan aur Pakistan ki janib se tanqeed ka nishana banaya ja raha tha. Shoaib Akhtar ney kaha ke sab se pehlay inhen Shoaib Malik se Shaadi par dono Mulkon mein bura bhala kaha gaya ab jabkay World Cup ke ahem Match mein Pakistan ko Hindustan se shikast huwi hai to is par bhi Sania Mirza ke khilaaf tanaza khara kiya ja raha hai aur tanqeed ka nishana banaya ja raha hai.

Hukka Parlour ke video ke hawalay se Shoaib Akhtar ney kaha ke Sania Mirza aur Shoaib Malik Miyan Biwi hain agar unhon ney hotel mein aik sath khana kha bhi liya tu kya hogaya is mein itna shore machane ki kya zaroorat hai. Pakistani Team apni badtareen karkardagi aur ghalat faislon ki wajah se Match haari hai, is mein Sania ka kiya qasoor hai. Shoaib Akhtar ney barhami ka izhaar karte huwe kaha ke Sania aur Shoaib Malik 2 mahino se nahi miley they agar woh apne shohar se milney Manchester gayi aur sath mein ghoom phir liya to is mein kya burayee hai, Shoaib Malik ki kharab karkardagi par un par tanaqeed Karen un ke khandan aur bachay ko beech mein kyun laya ja raha hai. Unhon ney mazeed kaha ke mujhe bohat dukh hota hai jab bilaa wajah kisi par tanqeed ki jaye, Social Media sarfeen apna haq samajte hain dosaron par ungeliyan uthana har kisi par tanqeed karna sirf is liye ke aap ke paas Social Media ka Account hai to kuch bhi likh dena aap ka haq hai.