Hyderabad: 161 acre araazi par agar aam ke baaghaat lagaye jayen to un baagaat mein kitney qisam ke aam ki paedawar ho sakti hai? is ke jawab mein hamaray zehan mein yahi jawab aeyega ke 10, 20, ya 50 qisam ke aam ki pedawar ho sakti hai, lekin Sangareddy mein fruit research station ( FRS) mein itni hi araazi par 470 qisam ke aam ki pedawar ki ja chuki hai aur sab se dilchasp haqeeqat yeh bhi hai ke yahan duniya mein dastyab honay walay har qisam ke aam dastiyab hain, yahi nahi balkay yahan moujood aam ka wazan 50 gram se le kar do Kg tak hai .
Yahan farokht honay walay meywoun ke badshah aam ki kharidari ke liye na sirf riyasat telangana balkay Hindustan bhar ke ilaqoun se log pohanch rahay hain. media numainday se izhaar-e-khayaal karte hue fruit research station ke science daan P.Harikaant ne kaha ke 161 acre araazi par moujood is aam ke baagh mein taqreeban 470 qisam ke aam ki kaasht ki gayi hai aur is mein duniya bhar ke aam moujood hain. science daan Harikaant ne yeh bhi daawa kiya hai ke duniya bhar mein jitne qisam ke aam dastyab hain woh tamam qisam ke aam yahan aasani se mil jatay hain .
Mohammad Moin uddin jin ke afraad-e-khandan yahan 1952 se aam ka stall laga rahay hain unhoun ne media numaindoun se izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke yahan ke mewa ki Hindustan bhar mein maqboliat ka andaza is haqeeqat se lagaya ja sakta hai ke yahan sirf riyasat telangana ke tamam azlaa se hi nahi balkay Hindustan ke ahem shehroun Mumbai , Dehli , Calcutta , Banglore aur taqreeban mulk ke har konay se log aate hain aur apne pasandeeda aam lekar jatay hain is ke alawa padosi reyaston Andhra pradesh, Maharashtra aur Karnatak se anay walay gahkon ki ek badi tadaad yahan har waqt mojood rehti hai. ab jab aam ki qeematon ki baat ki jaye to yahan kam se kam 80 rupay fi kilo aam farokht hota hai jabkay kuch khaas aam fee kilo ek hazaar se pandrah so rupay bhi mein farokht hotay hain . –YTN STAFF