Thursday, April 25, 2024
HomeSliderSamsung ko Best Global Brands 2020 fehrist mein panchwin maqam aur Apple...

Samsung ko Best Global Brands 2020 fehrist mein panchwin maqam aur Apple sare fehrist

Hyderabad: Samsung Electronics ne elaan kiya hai ke yeh aalmi Brands mushawarat karne wali company Interbrand ke zareya behtareen Global Brands 2020 ki fehrist mein panchawan maqam haasil karliya hai jabkay fehrist mein bal tarteeb Apple, Amazon, Microsoft aur Google sare fehrist 4 Brands hain.

Corona virus ki wajah se 2020 aalmi companiyon ke liye mushkil karobari saal raha aur bohraan ke daur mein masail la-haq honay ke bawajood Samsung ne Brands value mein 2 feesad izafay ke sath 2019 mein 61.1 billion dollar se badh kar 62.3 Arab Dollar kardeya. Samsung ne kaha ke woh behtareen Global Brands 2017 ki fehrist mein chhatay number par pounchanay ke baad 3 saloon mein aalmi sare fehrist 5 maqamat mein shaamil hogayi hai.

Samsung Electronics ke Chief marketing officer ( CMO ) YH Lee ne kaha hum ne 2000 mein 5.2 Billion dollar ki brand value ke sath 43 wi number par aaghaz kiya. Is saal hum 62.3 billion dollar ki brand value ke sath pehlay 5 naamon mein shaamil hain, Jo ek bohat bada karnaama hai.

Hum duniya bhar mein apne sarfeen ke taawun ke baghair yeh kamyabi haasil nahi kar saktay thay. Apni aalmi hesiyat ko mazeed badhaane ke liye hum Samsung ke sarifeen se mashgool baat cheet jari rakhen ge. Jab 2000 mein Brand ne behtareen aalmi Brands ki ashaat shuru ki thi to company is saal 43 wi maqam par thi lekin is ke baad se Samsung ne brand value ke lehaaz se mustaqil taraqqi record kar rahi hai.

Interbrand maali karkardagi, Kharidari par brand assar-o-rasookh aur brand musabqat samait mutadid awamil ke jame tajziye ki bunyaad par kaarobar ki brand value ka andaza lagaya jata hai. Alawa azeen Hindustan mein company ko khaas maqam haasil hai aur khaas kar Samsung ke Smartphone ko sab se ziyada pasand kiya jata hai.