Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaSamajwadi party mein badey paemanay par raddo badal ke imkanaat

Samajwadi party mein badey paemanay par raddo badal ke imkanaat

Lucknow: Uttar pradesh mein assembly zimni intikhabaat ke paish-e-nazar Samajwadi party ne tanzeemi dhanchay ko mazbooti faraham karne ke liye bade paemanay par tabdeelion ke liye tayyariyan shuru kardi hai.

Party noujawanoun ko ziyada numaindagi dainay aur rehnumaoun par ziyada etemad karne par ghour khouz kar rahi hai. party mein Obc aur dalit leadroun ko badi zimmedariyan dainay ki hikmat-e-amli tayari kar rahi hai.

Samajwadi party Akhilesh yadav pehlay hi Uttar pardesh aur Delhi mein party ki tamam akaeyo ko tahleel kar chukay hain. woh zimni intikhabaat se qabal ek fa-aal tanzeemi denay ko tarteeb dena chahtay hain.

Yahi mauqa hai jab zimni intikhabaat mein Samajwadi party ( SP ) ( BSP ) ke aamnay samnay hogi. SP ne BSP ki himayat se 2018 mein hue zimni intikhab mein lok sabha ki teen aur assembly ke ek nishist par kamyabi darj ki thi.

SP ke ek senior leader ne kaha ke Akhilesh yadav zimni intikhabaat ko kaafi sanjeedgi se le rahay hain kyunkay SP ke liye yahi mauqa hai ke woh apni apne maqam ko dobarah haasil kare. agarchay is waqt party ki qabza wali sirf ek Rampur seat hai jis par zimni intikhab hona hai lekin hum BJP ki seats ko haasil karna chahtay hain .

Sabiq SP wazeer ne is baat ko qubool kiya ke yeh party ke liye jad-o-jehad ka waqt hai. hamein aisay leadron ki zaroorat hai jo mukhalif halaat ka jam kar poori taaqat ke sath muqaabla kar saken. hum par umeed hain ke naya tanzeemi dhancha noujawan aur Umar maamar qaideen ke darmiyan tawazun qaim karega.

Yadav ko ek ke baad deegar kayi faislon ke ghalat saabit honay ke baad Samajwadi party ki koyi hui zameen ko dobarah talaash karne mein sakht taqatoun ka saamna karna padh raha hai.

2017 ke zimni intikhabaat mein congress ke sath ittehaad ne UP assembly ki 403 seats wali UP assembly mein SP ke sirf 47 seats ayen. jabkay 2019 ke aam intikhabaat mein BSP ke sath ittehaad ke baad party ki lok sabha mein sirf 5 seats par simat gayi. –YTN STAFF