Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsSamaji faasla Airlines ko bohat mehanga pade ga: Air Emirates

Samaji faasla Airlines ko bohat mehanga pade ga: Air Emirates

Dubai: Emirates Airline ney kaha hai ke jahaaz par samaji faasla rakhnay ki pabandi karna ghair haqeeqi hai, Aisa karna Airline ko bohat mehanga pade ga. Khabar rasan idaray ke mutabiq UAE ki sab se badi fazai company Emirates nay kaha hai ke musafiroun ko ek seat chod kar bithanay se akhrajaat bohat ziyada badh jayen ge jo Airline ke liye bardasht karna mumkin nahi hai.

Emirates ke Corporate Communication ke sarbarah Boutros Boutros ney Dubai mein jari karobari Conference se khitaab mein kaha ke jahaaz mein samaji faasla rakhnay ki behas achi hai lekin Emirates mamool ke mutabiq flight operation bahaal karna chahay ga. Unhoun ney kaha ke jahaaz ki maeeshat ka inhisaar is ki nashestin bhadnay par hota hai, Musafiroun ke darmain seat chodna mumkin nahi hai, Jab tak ke musafir khud khaali seat ka kiraya nah ada kere.

Unhoun ne kaha ke haqeeqat hamari khwahisaat ke bar aks hoti hai. Corona ke baad se Emirates apne kul mulazmieen ka daswaan hissa mulazimat se bar tarf kar chuka hai, Jo 15 feesad yani 9 hazaar nokriyoun tak badh sakta hai. Corona se peda honay wali muashi sorat e haal se qabal Emirates ke paas 60 hazaar ehalkaroun ka amlah tha jis mein 4 hazaar 300 Pilot aur taqreeban 22 hazaar cabin crew shaamil tha.

Emirates ke sadar Tim Clark ne kaha ke Airlines ki khidmaat kuch hadd tak mamool par anay mein 4 saal tak ka arsa lagey ga. Dubai Airports ke Chief Executive ne conference sherka ko bataya.

Un parwazoun par bhi samaji faaslay ki pabandi karte hue musafiroun ko nashtin chod kar bithaya gaya tha. Unhoun ne kaha ke aam dinoun mein 2 lakh 80 hazaar musafiroun ka Dubai Airport se guzar hota tha, Jabkay May ke pooray mahinay mein sirf 44 hazaar musafir aaye. Aam dinoun mein sirf 4 ghantoun mein 44 hazaar musafir Dubai Airport atay hain. 270 baday jahazoo par mushtamil fazai company Emirates ne corona ke baais apni khidmaat March mein band kar diye they. Pabandi ke 2 haftay baad Emirates ne mehdood parwazein bahaal ki theen. August ke wast tak Emirates ka 58 shehroun mein parwazi dobarah shuru karne ka iradah hai. Virus se qabal Emirates ke 157 mumalik mein tayyarah khidmaat jari theen.