Monday, April 21, 2025
HomeSliderSalah Muslim Duniya Mein Khawateen Ke Sath Mazeed Behtar Bartav Ke Koshan

Salah Muslim Duniya Mein Khawateen Ke Sath Mazeed Behtar Bartav Ke Koshan

Qahira: Misr ki football team ko 3 dahoun ke baad 2018 mein Fifa World cup tak pohanchanay walay Misri footballer Mohammad Salah ne  islami duniya mein aurton ke sath rava rakhay janay walay sulook mein tabdeeli laane ki appeal ki hai. English club Liverpool ke liye forwader 26 sala Mohammad Salah ko American magazine time ne  Tigerwoods , Lee born james aur Noami ovasak sameit 2019 ki 100th ba asar tareen shaksiaat ki fehrist mein shaamil kya hai. jareeday ko haal hi mein diye gaye interview mein unhon ne  kaha ke inhen apne ander khwateen ko yaksaa haqooq dainay ki soch peda karne ke liye kayi baras lagey hain aur woh is mein mazeed tabdeeli daikhna chahtay hain. un ke mutabiq un ke andar yeh soch apne culture aur mashriq wasti mein khawateen ke sath kiye janay bartao ko dekh kar paeda hui. unhon ne  kaha ke mein aurton ki pehlay se ziyada himayat karne laga hon kyunkay mera khayaal hai ke woh bohat kuch panay ki haqdaar hain .

Misri footballer ke mutabiq logon ki umeeden inhen aksar dabao mein mubtala kar deti hain lekin yeh unke liye ek qabil-e-fakhr baat hai jis ki wajah se woh aur achay tareeqay se khailnay ki koshish karte hain. Mohammad Salah ki ek 5 saal ki beti hai. unhon ne  kaha ke khel ke baad thakan mitanay ke liye unka pasandeeda tareeqa apni beti ke sath waqt guzaarna hai. bain –ul-aqwami satah ka footballer ban’nay ke baad unke tarz-e- zindagi par ziyada farq nahi pada hai aur woh apni zindagi ek aam insaan ki tarhan hi guzartay hain aur ziyada tar waqt ghar par hi rehtay hain kyunkay inhen bahar ghoomna pasand nahi hai .- YTN STAFF