London : Brexit mein nakami par Bartania ki Wazeer-e-Azam Theresa May ki janib se istifa ke elaan ke baad Wazeer-e-Azam ki daudh mein 9th umeed waar Sajid Javid bhi shaamil hogaye hain. Brexit muahiday mein nakami se dilbardashtah hokar Theresa May ne chand din qabal wazer-r-azam aur hukmuran jamaat Conzereto aur unionist party ki sarbarah ke ohday se mustafi honay ka elaan kiya tha. unke elaan ke sath hi Conzereto party ke naye sarbarah ke liye 8 umeedwaron ne apni khidmaat paish ki theen, taham ab secretary dakhla Sajid Javid ne bhi wazer-e-azam ki is daudh mein shamoliat ikhtiyar karli hai .
Wazeh rahay ke Conzereto party ka naya sarbarah hi Bartania ka Wazeer e Azam hoga. report ke mutabiq twitter par elaan karte hue Sajid Javid ne kaha ke sab se pehlay aur sab se ahem, hamein Brexit ko poora karna hai. video bayan mein Sajid Javid ne mazeed kaha ke woh dobarah bharosa aur ittehaad qaim karna chahtay hain taakay mulk ke liye naye mawaqay paeda hon .
Europi intikhabaat ke nataij mein dekha gaya gaya ke unki jamaat ko 10 feesad se bhi kam vote miley jo 2014 mein 25 feesad they, isse yeh wazeh hai ke hukoomat ko Brexit par amal karna hoga taakay jamhoriat par dobarah yaqeen bahaal hosakay. unhon ne mazeed kaha ke hamein ikhtilafat ko daur karte hue tamam baradri ke zakhamo par marham rakhna hoga, hamein apne muashray aur maeeshat ko mazboot banana hoga taakay mulk ke behtar honay se milnay walay mawaqay se sab faida utha saken .
Conzereto party ki sadarat ke liye deegar umeedwaron mein secretary kharja, bain ul aqwami development secretary rori Estort, sabiq secretary kharja bors jones , sabiq work and pension secretary Asthermick way, sabiq Brexit secretary Domink raab, sabiq leader of di house ayndrya lead sm, secretary maholiyaat Michael gov aur secretary sahet meet heen kook shaamil hain .
Yaad rahay ke chand din qabal Bartanwi Wazeer e Azam Theresa May ne intahi jazbati andaaz mein elaan kya tha ke woh 7th June ko Wazeer e Azam aur hukmuran jamaat Conzereto aur unionist party ki sarbarah ke ohday se mustafi hojaiengi. mulk ka agla Wazeer e Azam ban’nay ke umeed waar Europi union se sakht sharait par alehadgi ka moahida chahtay hain jabkay Europi union pehlay hi keh chuki hai ke woh November mein tey kiye gaye muahiday par dobarah mazakraat nahi karegi .
Theresa May ne 21 May ko Bartanwi arakeen-e-parliment ko is soorat mein naye rifrndm ka mauqa dainay ka kaha tha ke agar woh teesri martaba mustard kiye gaye muahiday ki himayat karte
taham Conzereto party ke arakeen ne inhen isteefay ki tareekh ka elaan karne ke liye jummay tak ka waqt diya jis par Bartanwi media ne kaha hai ke woh 10 June ko ohday se mustafi hon gi. 2016 mein Bartania mein honay walay haerat angaiz referendum mein Bartanwi awam ne Europi union se ikhraj ke haq mein vote diya tha jis ke baad tey kya gaya tha 29 March 2019 ko Bartania , Europi union se alehadgi ikhtiyar karlega. July 2016 ko Wazeer e Azam ban’nay wali Theresa May ne Brexit muahiday par awaami faislay ko amli jama pehnanay ka wada kya tha lekin shadeed mukhalfat ke baad se inhen mushkilaat ka saamna hai aur woh arakeen parliment ko mananay ki koshish kar rahi hain ke woh ikhraj ke muahiday ko qubool karlen. is muahiday par votng guzashta saal decemeber mein honi thi lekin baad azan usay January tak ke liye multawi kardiya gaya tha . –YTN STAFF