Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadSaidabad gair khanooni masroofiyat ka ghad awaam pareshan

Saidabad gair khanooni masroofiyat ka ghad awaam pareshan

Hyderabad: Saidabad mein 6 saala bachi ki ismat rezi aur qatl ne ilaaqe ki colony mein muassar police par sangeen sawalat khade kar diye hain. Is waqia ke baad ilaqe mein sharaab aur manshiyat ki gair khanooni faroqt ko rokne mein mubina taur par nakaami ka ilzam lagate huwe bohut se logon ne police ki muassar kar gardegi par sawaliya nishan laga diya hain. Muqaami afraad ne kaha hai ke ilaaqa samaj dushman anasir aur gair khanooni sar garmiyon mein mulawwis afraad ke liye mehfooz panah gah ban chuka hain.

Agar police is ilaaqe mein sharaab ki gair khanooni faroqt par rok lagati toh shayed na baalig ladki ki ismat rezi aur qatl ka waqia ronma na hota. Mulzim aadi sharabi hai aur burahiyon ka aadi hai. Is ilaaqe mein sharaab ki aasani se dastiyabi ghareebon ke liye ek laanat hai.

Muqaami logon ne yeh bhi ilzam lagaya hai ke taqreeban har dusra ghar sharabiyon ka tikana ban chuka hain. Awaam ne kaha hai khanoon naafiz karne wale idaare aur commissioner ki task force samaj dushman anasir par nazar rakhne mein nakaam rahi hai. Unho ne mazeed kaha ke gaanja ki faroqt deegar mamnooa cheezon ke saath ilaaqe mein bade paimane par khareed o faroqt hoti hain jis se bohut se naujawan be rah rawi ka shikar ho rahe hain.

Is se qabl is ilaaqe mein gair khanooni LPG gas re filling unit chal rahe the lekin sival supply hukkam aur police ki jaanib se musalsil lockdown ke zariye qatre ko qaboo mein kiya gaya. Mutadid karwayion mein gharelu aur commercial LPG gas selender zabt kiye gaye jo dobara bharne ke maqasid ke liye istemal kiye gaye the.

Ilaaqe mein koe muhasira aur search operation nahi kiya ja raha hai. Police ko kayi baar agah karne ke baujood hamare masail par koe tawajjeh nahi di jarahi hain. Is ilaaqe mein police ki gasht ko tez karne ki ashad zaroorat hain. Muqaami logon ne kaha hai ke ilaaqa mein din ki roshni aur markazi sadkon par gair khanooni karobar kiya ja raha hai. Unho ne ilzam lagaya hai ke excise hukkam ne is tarha ke masail se chashm poshi kar rahe hain.