Congress ki general secretary اaur Uttar Pradesh ki in charge Priyanka Gandhi nay chief minister Yogi Adityanath ko khat likh kar sahafi salba sriwasto qatal muqadma ki tafteesh markazi tafteeshi agency (CBI) se karwanay ka mutalba kiya hai. Priyanka Gandhi nay yogi ko likhay gaye khat mein kaha ke salbia sriwasto nay police ko darkhwast di thi ke sharaab mafia ghair qanooni sharaab se mutaliq un ki khabron se naraaz hain, lehaza woh –apne aur –apne afraad khandan ke tahaffuz ke hawala se pareshan hain lekin un ki darkhwast par amal nahi kya gaya.
Unhon ny kaha ke riyasat mein sharaab mafia aur intizamia ke mabain gath joor hai. aur isi gath joor ke sabab sharaab mafia bulaa khauf o khatar juraim ka irtikaab kar raha hai aur intizamia un ke khilaaf anay wali kisi bhi shikayat par tavajja nahi day rahi hai. unhon ny is saaray muamlay ki CBI se tafteesh ka mutalba kiya hai.
ALSO READ: Corona ke Adhdo shumar Modi Hukumat Par Priyanka Ki Tankheed
Congress ki general secretary ney –apne khat mein likha ABP news ke sahafi salbia sriwasto 13 June ki raat zila prtap garh mein mashkook haalat mein mout hui thi. woh aik newz cover karne ke baad ghar lout rahay thay. it-tila-aat ke mutabiq woh aik eent ki Bhatti ke qareeb murda haalat mein paye gaye is ke sir par zakhamo ke gehray nishaan thay.
Priyanka gandhi ney kaha ke 12 June ko salbiya sriwasto ney ADG ko maktoob likha tha ke jis mein unhon ney muqami sharaab mafia se apni jaan aur afraad khandan ke liye khatrah bataya tha lekin aik din baad woh mashkook halaat mein inton t ki Bhatti ke qareeb murda paye gay. unhon ney kaha ke salbia sriwasto ke khandan ke afraad aur sahafi baradri ney is muamlay ko CBI tehqiqaat krwane aur haqeeqat samnay laane ka mutalba kiya hai.
Unho ne kaha ke cheif minster yogi ko chahiye ke woh is muamlay ko notice mein len aur is waqeye ki tehqiqaat aur mutasirah afraad ke ahal khanah ko maali imdaad ka elaan karen.
Cheif minister ko likhay gaye khat mein priyanka Gandhi ne likha hai ke riyasat mein mutadid maqamat par zahrili sharaab se honay wali amwaat ki it-tila-aat aa rahi hain. Ali garh se prtap garh tak zahrili sharaab ki wajah se senkron afraad ki mout hochuki hai. aisi sorat e haal mein, kisi sahafi ko sharaab mafia ki taraf se khabrain dainay ki dhamki diye jane se yeh zahir hota hai ke riyasat mein qanoon ki hukmarani khatam hochuki hai lehaza riyasat mein sharaab mafia aur intizamia ke gath jor ke khilaaf karwai ki jani chahiye. unhon naay likha ke maazi mein riyasat mein billiyaan, nav samait mutadid maqamat par sahafion par hamla kiya gaya hai. sahafion ko tahaffuz faraham karna reyasti hukoomat ka kaam hai. umeed hai ke aap aanjhani salba sriwasto ke ahal khanah kwansaf ke liye misbet iqdamaat karen ge.