New Delhi: Supreme court ne Uttar pradesh ke chief minister yogi Aditynath ke khilaaf mubayyana tour par qabil-e-aitraaz tabsarah karne ke muamlay mein girftar sahafi Prashant Kanojia ko badi raahat dete hue inhen zamanat par fouran riha karne ka hukam diya hai. justice indra Benerjee aur justice Ajay Rastogi ki Tateeli bench ne Prashant ki biwi Jagisha Arora ki appeal ki samaat ke douran Uttar pradesh police ki karwai aur nichli adalat ke zareya 22 June tak aaeni hirasat mein bhejnay ke faislay ki muzammat ki .
Adalat ne wazeh kiya ke Twitter per Prashant ke post ko sahi nahi tehraya jasakta, lekin iski wajah se police ki karwai bhi sahi nahi kahi jasakti. samaat ke douran Uttar pradesh hukoomat ki janib se additional general Vikram jeet Benerjee ne Daleel di ke mulzim ko Judicial magistrate ne aaeni hirasat mein bheja hai, is liye is muamlay mein aeen ke dafaa 32 ke tehat dair arzi par samaat nahi ki jani chahiye. unhon ne yeh bhi kaha ke mulzim ko zamanat par rihayi ke liye nichli adalat ya high court ka rukh karna chahiye tha, lekin justice Benerjee ne kaha Supreme court insaaf ke liye aeen ke dafaa 142 ke tehat faraham kardah huqooq ke dairay mein koi bhi hukum jari kar saktha hai .
Aeen ke tehat azaadi ko barqarar rakha gaya hai aur jab bhi koi ghair munasib karwai hogi yeh adalat apne ikhtiyarat ka istemaal karne se peechay nahi rahay gi. justice Benerjee ne kaha, hum ne tweet dekhe hain. is tarhan ke tweet nahi kiye janay chahiye they, lekin kiya is muamlay mein girftar zurori thi? justice rastogi ne ASG se poocha ke aakhir kis bunyaad par tazirat hind ki dafaa 505 lagai gayi? justice Benerjee ne kaha ke Judicial magistrate ka mulzim ko 22 June tak aaeni hirasat mein bhejnay ka faisla sahih nahi tha. unhon ne haerat ka izhaar karte hue kaha, 22 June tak? mulzim ko 11 din ke liye aaeni hirasat kiya yeh qatal ka ilzaam hai adalat ne kaha ke Prashant ko zamanat par foran riha kya jaye, halaanke is ne wazeh kiya ke hukoomat qanoon ke dairay mein mulzim ke khilaaf karwai kar sakti hai. –YTN STAFF