Tuesday, May 21, 2024
HomeIndiaSafoora ki bahaduri ko Salam: Firdous

Safoora ki bahaduri ko Salam: Firdous

Srinagar: Peoples Democratic Party ke Senior leader advocate Firdous Ahmed ne zila Kishtwar se talluq rakhnay wali 27 sala Safoora Zargar ki Delhi high court ki janib se zamanat manzoor kiye janey ke iqdaam par khushii ka izhaar karte huve kaha hai ke behan Safoora phir se ghar lout rahi hain un ki bahaduri ko Salam.

Unhoun ne apne ek Twit mein kaha behan Safoora Zargar phir se ghar lout rahi hain. Un ki jurrat aur bahaduri ko Salam. Sab se achi baat ye hai ke mulk mein jahan qastayi hukoomat mein koi insaaniyat aur bahaduri baqi nahi reh gayi hai, Wahein ab bhi qanoon ki baladasti qayem hai.

Firdous ne mazeed kaha ke adalat ki janib se zamanat manzoor karne ka faisla khandan ke liye ek achi khabar hai jo inhen jail se baher nikaalne ke liye bohat jad-o-jehad kar rahay thay. Inhen adalat ne insani bunyadoun par zamanat di hai. Ye tarz rasai hukoomat ko ikhtiyar karna chahiye tha kyunkay jahan Safoora haamla theen wahein un ki maa coronavirus se mutasir theen. Ye ab ayaan hochuka hai ke is hukoomat mein insaaniyat nahi hai.

Firdous ne siyasi qaidyoun ki rihayi ki maang karte huve kaha hamara qanoon par poora bharosa tha. Mera maanna hai ke qanoon ki baladasti ab bhi qaim hai. Hamara mutalba hai ke sabhi siyasi qaidyoun jinhein ikhtilaaf raye ke jurm mein jails mein band kiya gaya hai, Ko bhi jald reha kiya jaye ga.

Bataden ke zila Kishtwar se talluq rakhnay wali 27 sala Safoora Zargar guzashta qareeb dhai mah se Delhi ki Tihar jail mein band theen. Jamia Millia Islamia University ki research Scholar aur Jamia Coordination Committee ki media Coordinator Safoora par Delhi mein rawan baras Feb bhadakne walay bhayanak fasadaat ki kaleedi sazshi honay ka ilzaam hai.