Tuesday, April 22, 2025
HomeIndiaSaelaab ki sorat-e-haal ke paish-e-nazar hukkam ney Chadra Babu Naidu ko ghar...

Saelaab ki sorat-e-haal ke paish-e-nazar hukkam ney Chadra Babu Naidu ko ghar khaali karne ki di notice

Amravati : Andhra Pradesh mein hukkam nay hafta ko sabiq wazeer-e-aala N Chadra Babu Naidu ko saelaab ki sorat-e-haal ko dekhte hue krishna nadi ke kinare waqay unke ghar ko khaali karne ki notice di hai. krishna nadi ke badhtay pani ki wajah se iske kinare ke gharon mein pani bhar jaane ka andesha ke tehat, reyasti hukkam nay rehaishiyoun ko mehfooz muqamat par jaane ke liye kaha gaya hai.

Ohdedaron ney kaha ke kisi bhi imkani nuqsanaat se bachney ke liye 32 gharoun ko notice diye gaye hain. TDP cheif wo Andhra pradesh assembly mein qaied hizab-e-ikhtilaaf N Chadra Babu Naidu aur unke kumba ke afrad kuch din qabal hi is ghar se bahar chalay gaye they. chunkay Naidu ke ghar par koi nahi tha, is liye Undavalli Village Revenue Officer  ( VRO ) nay unkay ghar ke dakhlay par notice chipsan kiya.

Taham hukmaran YSR congress party ( YSRCP ) ke rehnumao nay ilzaam aed kiya hai ke Naidu ”sailaab ke aaghaz se hi hyderabad faraar ho gaye hain.

Is se qabal jummey ke roz, Naidu nay ilzaam lagaya tha ke ghar par ek drone mandlatay hue dekha gaya tha. TDP kaarkunon nay yeh bhi daawa kiya ke drone unki party ke sarbarah ke ghar ki tasaveer le raha tha.

Wazeer aabi wasail P Anil kumar nay wazeh kiya ke Drone ko mehakma aabi wasail nay pani ka nzarah karne aur saelaab ki sorat-e-haal ki nigrani ke liye tainaat kiya gaya tha.

Wazeer aala YSR Jagan Mohan Reddy nay is se qabal yeh ilzaam lagaya tha ke Naidu River Conservancy Act aur deegar maholiyati usooloun ki khilaaf varzi karte hue nadi ke kinare banaye gaye ghar mein reh rahay the.

June mein, reyasti hukkam nay Lingameneni Ramesh per mismark karne ka notice diya tha, jis mein 2016 may  hyderabad se yahan shift honay ke baad usay lease par makaan liya tha. hukoomat nay Naidu ki rahaish gaah se mut-tasil ek meeting Praja Vedika ko bhi munhadim kar diya. –YTN STAFF