New Delhi: Qaumi Shehriat ( Tarmeemi ) Qanoon, NRC aur NPR ke khilaaf Shaheen Bagh mein khatoon muzahireen ne saddak band honay par waweela machane waloun se kaha ke hukoomat, Adliya aur kuchh khaas tabqo ko saddak band honay ki bohat fikar hai lekin un khawateen ki fikar nahi hai jo zayed az 2 mah se Shaheen Bagh sameit mulk bhar mein sadkoun par hai.
Shaheen Bagh khatoon muzahireen ne kaha ek saddak band honay ki wajah se aasman sar par utha liya gaya hai jab ke Delhi mein rozana kayi saddkain kisi nah kisi wajah se band hoti hain aur logoun ke kayi ghantay barbaad hotay hain lekin is par koi baat nahi ki jati. Shaheen Bagh saddak ke silsilay mein nah sirf pooray Shaheen Bagh ko nishana banaya ja raha hai balkay usay badnaam karne ke liye terhan terhan ke hathkande apane jarahay hain. Unhoun ne kaha ke is ke liye agar koi zimma daar hai to aur hukoomat aur intizamia hai kyun ke ab tak is ne hamari baat nahi suni hai.
Muzahireen mein shaamil Rito ne hukoomat ki be hisi par afsos ka azhar karte huve kaha ke koi bhi hukoomat awam ke liye hoti hai, Usay awam ki takleef, Dukh, Dard aur pareshaniyoun ko duur rakna chahiye lekin ye hukoomat zid par aadi huvi hai aur hukoomat ne hamein keeday makoday samajh liya hai is liye hamaray dukh dard usay ehsas nahi hai. Awam ne hukoomat banai hai na ke hukoomat ne awam ko banaya hai. Ahtijaj ka ikhtiyar hamein ayeen ne diya hai na ke hukoomat ne aur jis ayeen ne hukoomat ko ikhtiyar diya hai wahi ayeen hamein ehtijaj karne ka bhi haq diya hai aur hukomat ko hamari baat sunni hi pade gi. Unhoun ne kaha ke qanoon awam ke liye hota hai nah ke awam qanoon ke liye. Isi liye hukoomat ko koi aisa qanoon nahi banana chahiye jis se awam ko koi takleef puhanche.
Wazeer e Azam Modi ke Banaras walay bayan par rad-e-amal zahir karte huve Rito ne kaha ke wo agar is kalay qanoon ko wapas nahi lenge to hum bhi apna dharna jari rakhen ge aur pooray mulk ki khawateen ko jama karen ge. Unhoun ne kaha ke is qanoon ke khilaaf is waqt poora mulk Shaheen Bagh ban chuka hai aur agar hukoomat ne usay wapas nahi liya to is mein bohat shiddat aeye gi. –YTN STAFF