Hyderabad : Sadar jamhooria Ramnath Kovind nay intermeidate imtehanaat ke nataij mein mubaiyana gudh badi muamlay par 27 talba ki khud kushiyoun par Telangana hukoomat se report talab ki hai.
Markazi wizarat-e-dakhla nay Telangana ke chief secretary SK Joshi ko ek khat bheja hai jis mein is maamla se mutaliq report paish kar nay ki hidayat ki gayi hai. wizarat-e-dakhla ke under secretary Ashok Kumar pal nay 7 August ko apne khat ke sath sadar secretariat se khat bheja.
Markazi ohdedar nay BJP Telangana reyasti unit ke sadar ke Laxman ko bhi apne khat ki ek copy soumpi, jinhon nay party ke deegar rehnumao ke sath mil kar Kovind ko ek yad-dasht paish kiya tha, jis mein unhon nay Telangana hukoomat se report talabb karne par zor diya tha. BJP ke wafad nay saddar jamhooria se appeal bhi ki thi ke woh governor ko mashwara de-ke taleemi hukkaam ki janib se hone wali dhoka dahi ki adalti tehqiqaat ka hukum den.
9.43 laakh talba jo imtehanaat mein shareek hue they, un mein se 5.6 laakh nay usay clear kiya tha. April mein nataij ke elaan ke baad, hukkaam ki janib se jawabi parchoun ki jaanch padhtaal aur nataij par karwai karne ka maamla samnay aaya, jis nay hizab-e-ikhtilaaf ki jamaatoun aur talba tanzeemoun ke zareya awam mein zabardast Ghaiz-o-ghazab paeda kiya aur ehtijaj ko bapaa kiya.
Wazeer-e-aala K.Chandra Shekhar Rao nay baad mein tamam nakaam talba ke jawabi parchoun ki muft dobarah tasdeeq ka elaan kiya tha. May mein BIA nay paas number haasil karne mein nakaam rehne walay 3.82 laakh talba ke jawabi parchon ki dobarah towseeq ke nataij ka elaan kiya. is amal ke baad 1,137 talba, jinhein pehlay ”Nakam“ qarar diya gaya tha, naay imtehanaat mein kamyabi haasil kar liye.
BIA ke mutabiq, 23 talba mein se jinhon nay khudkushi ki thi aur teen jinhon nay khud kushi ki thi, un ke jawabi prchon ki dobarah towseeq se yeh zahir hua hai ke paas honay mein nakaam honay se koi tabdeeli nahi hui hai. talba tanzeemon aur ghair sarkari tanzeemon nay daawa kiya ke 26 talba nay apni zindagi ka khatema kardiya, taham BJP nay yeh tadaad 27 batayi. –YTN STAFF