Monday, April 21, 2025
HomeHyderabadSadakh par tamirati malba phenknay waloun ko ab ek laakh ka jurmana...

Sadakh par tamirati malba phenknay waloun ko ab ek laakh ka jurmana bhi mumkin

Hyderabad : Aksar dekha jata hai ke log tamirat ke douran qadeem deewaroun aur gharoun ko munhadim karne ke baad is ka malba raastoun aur sadkhon par daal dete hain lekin ab Hyderabad mein sadakh ke kinare tamirati kachra aur malba phenknay se pehlay do martaba sochiye kyunkay aap ko yeh harkat mehngi padhsakti hai.

Telangana reyasti hukoomat ke dairay mein Greater Hyderabad ke hudood mein sadkhon aur naaloun par ghair majaz tamirati kachray ko phenknay ki mutadid misaloun ke baad municipal intizamia aur shehri taraqqi ( MAOD ) ne is muamlay ko sanjeeda masla mantay hue ghair qanooni is harkat ke khilaaf bhaari jurmane aed karne ka faisla kiya hai, aisa karne walay afraad ke khilaaf pehlay jurm par 25 hazaar rupay, dosray jurm ke liye 50 hazaar rupay aur teesray jurm par istemaal shuda gaari zabt karne ke alawa 1 laakh rupay jurmana aaed kiya jayega.

Neez har jurm ke liye is idaray ke khilaaf 50 hazaar rupay jurmana aaed kiya jayega jiski taraf se tamirati malba phenka jaraha hai. MAOD ke principal secretary Arvind Kumar ne is ke ehkamaat jari kiye. GHMC, HMDA, RTA aur traffic police ko un sazaon ko nafiz karna hoga. GHMC ke ohdedaroun ne kaha ke mutadid ladiyan aur Heavy Duty Truck, jo badey patharon aur katay patharoun par mushtamil hain, sadakh ke deegar sarfeen, choti gadiyaan aur chalne walon ke liye khatrah hain. baar baar darkhwast aur builders, thekedaron aur transport agencies se apilon ka koi muasar nateeja bar-aamad nahi hua hai aur patharon ki naqal wo hamal ka rivaaj bhi istashna ke sath badastoor jari hai. –YTN STAFF