Karachi: Pakistan ke sabiq All Rounder Azhar Mahmood ny dilchasp inkishaaf kiya hai ke aur Shahid Afridi ny 1996 mein Sri Lanka ke khilaaf One Day cricket mein sab se taiz century Sachin Tendulkar ke bat se banai thi. Unhoun ny 37 gaindon par ye century mukammal ki thi. Azhar Mahmood ny ‘The Greatest Rivalry’ podcast ko bataya ke Afridi ne apne bat se nahi balkay Sachin Tendulkar ke bat se sab se taiz century banai thi, Jo Waqar Younus ny inhen diya tha.
Asal mein Sachin ne Younus ko naya bat banwanay ke liye apna purana bat namoonay ke tor par diya tha. Afridi ka One Day mein sab se taiz century ka record 18 saal tak barqarar raha. 2014 mein New Zealand ke All Rounders Corey Anderson ne West Indies khilaaf 36 gaindon mein century Score record toad diya tha. Mahmood ne kaha ke Afridi ko Dibyo Match mein number 6 par batting karne ke liye rakha gaya tha lekin inhen mauqa nahi mila. Is ke baad Sri Lanka ki janib se Jayasuriya aur Romesh Kaluwitharana ki batting dekh kar Pakistan ki team intizamia ne Afridi se Top order mein batting ka faisla kiya. Yab Waseem Akram ne mera aur Afridi ka intikhab kiya aur kaha ke nets par lambay shots laganay ki mashq Karen.
Afridi ne net practice ke douran Spinners par lambe chhakay lagaye. Sabiq bowler Mahmood ne Podcast mein mazeed inkishaaf kiya ke jab Sri Lanka ke khilaaf aglay match mein Pakistan ki pehli wicket 60 ke score par giri to team managment ne Afridi ko number 3 par batting ke liye bheja. Unhoun ne 11 chakkon aur 6 chowkun ki madad se sirf 37 gaindon mein century banai. Is Inning ke baad wo ek batsmen ke tor par pehchane gaye. Waisay inhen team mein ek bowler ke tor par shaamil kiya gaya tha jo mauqa milnay par lambay shot khailnay ki salahiyat rakhta ho. Is waqt Afridi ney 40 gaindon mein 104 run banaye they. Is ke baad Afridi ney kabhi peechay modkar nahi dekha aur baad mein wo One Day mein Pakistan ke sab se baday khiladi ban gaye. Unhoun ney hindostan ke khilaaf 2011 ke World Cup ke Simi final mein bhi captani ki. Afridi ney Pakistan ke liye 398 One Day aur 27 test khailay. Is mein unhoun ney 8064 aur 1716 runs banaye. Is ke ilawa unhoun ney 99 T20 mein 150 ke Strake Rate se 1416 runs banaye. Un tenun format mein 11 centuries shaamil hain.