Kolkata : Ayodhya ke faislay par Supreme Court ke sabiqa judge AK Ganguly ney kaha ke is muamlay mein Musalmanoun ke sath ghalat hua hai. Kolkata mein media se baat karte hue retired judge AK Ganguly ney Supreme Court ke faislay par tabsarah karte hue kaha ke wo is faislay se pareshan hai.
Justice Ganguly ne kaha ke koi bhi kahega ke Ayodhya mein masjid girayi gayi thi, ye sab ko pata hai. hukoomat is masjid ko bachana chahti thi. unhoun ne kaha ke hamara Aeen-Dastoor jab wujood mein aaya to yahan Namaz Padhi jarahi thi. Ek aisi jagah jahan namaz padhi jarahi thi, jahan par masjid thi, ab is jagah ko Supreme Court ne mandir ke liye dene ka faisla kiya hai. unhoun ne kaha ke Aeen-Dastoor ka ek talib-e-ilm honay ke natey faislay ko samajhney mein mujhe thodi dikhat ho rahi hai, yeh faisla meri samajh se baala-tar hai.
Justice Ganguly na kaha ke Masjid taqreeban 500 saloun se thi. unhoun na kaha ke adalat ne ye nahi paya kai Masjid, Mandir todh kar banai gayi thi. iske alawa is baat ke bhi aasar-e-Qadima se saboot nahi hai ke Masjid ke neechay Mandir tha. wahan par koi dhancha zaroor tha. lekin uss dhanchay ke Hindu dhancha honay ke saboot nahi hai.
Yaad rahay ke justice Ganguly wohi hain, jinhon ne 2012 mein 2G Spectrum allotment muamlay mein apna faisla sunaya tha. Justice Ganguly nay kaha ke Supreme Court ki ye aaeni-dastoori zimmedaari hai ke woh sab ke huqooq ki hifazat kare, is mein Aqliati tabqay bhi shaamil hai. unhoun na kaha ke is mulk ke log kiya dekhenge, yahan Ek Masjid thi, jisay 1992 mein todh diya gaya, is zameen par Supreme Court ek Mandir bananay ki ijazat di hai. kin sabutoun ki bunyaad par yeh faisla liya gaya hai ye is Aastha ki bunyaad par diya gaya ke ye zameen Ram Lalla se judi hui thi, lekin kiya Aastha ki bunyaad par aisa kiya jasakta hai.
Justice Ganguly ney aagey kaha ke jo saboot miley hai aur jo faisla aaya hai, is se mein apne aap ko mutmaen nahi kar paraha hon. unhoun ne kaha ke hosakta hai ke unki samajh mein kuch khamiyan hon, lekin unke khayaal se is faislay mein bohat se sawalaat ke jawabaat nahi diye gaye hai. –YTN STAFF