South Korea ki aik adalat ney sabiq sadar Lee Myung-Bak ko badunwani ke ilzaam mein 15 saal qaid ki saza sunai hai. Sabiq hukoomati ohdedaron ko sazayen sunaye jaaney ka yeh naya waqea hai. Maujooda hukoomat ki taraf se security affairs mein ghaflat baratney par sabiq hukkaam ko qaid aur jurmanon ki sazayen sunai jati rahi hain. Central Seol mein qayim aik adalat ney sabiq sadar Lee ko rishwat lainey aur dhoka dahi samait kayi dosray ilzamaat mein qaid ki saza sunai. Inhen qaid ke sath 13 arab von yani 1 crore 15 lakh dollar ka jurmana bhi ayed kiya gaya hai. Sabiq sadar ki adalti karwai barah e raast Tv par nashar ki gayi aur kaha gaya ke mulzim ko sakht tareen saza di jaye gi. Taham kharabi sehat ki binaa par Lee khud wahan mojood nahi thay. South Korea ke sabiq sadar par rawan saal 16th April ko rishwat, dhoka dahi aur ohda ke najaaiz istemaal par fard jurm Ayad ki gayi thi. South Korea ki adalat ka kehna hai ke gariyon ke spear parts tayyar karne wali aik company “Das” sabiq sadar ki malkiyat hai taham Lee ka daawa hai ke woh company un ke bhai ki hai. Adalat ka kehna hai ke sabiq sadar ney dhoka dahi se company ko 24 Arab von ka fayedah pohanchaya tha.