Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaSabiq Rukn-e-Parliament Bidi bana kar karta hai apna guzaraa, Pension ke liye...

Sabiq Rukn-e-Parliament Bidi bana kar karta hai apna guzaraa, Pension ke liye bhi karni padi kaafi mushaqqat

New Delhi: Moujooda daur mein Rukn-e-parliament ya sabiq rukan Parliament lafz suntay hi hum sab ke zehnon mein ek   bohat hi moutabar wo assar wo rasookh rakhney walay shakhs ka tasawwur obhar aata hai. Aur is ki shaan wo Shaukat o rehan sehan ka andaza hota hai. Magar Madhya Pradesh ke Bhundel Kand mein ek   aisay sabiq rukan parliament hain, jin ki haalat is se bilkul mukhtalif hai. Woh cycle par phirtay hain aur waqt milney par Bidi bhi bana letay hain. Unhen is ilaqay ke log ”cycle walay Neeta Jee” keh kar bulatay hain.

Sagar Shehar ki Poroyaoo Mohalla mein Sangri gali mein mojood ek   chootey se makaan mein rehtay hain mazkoorah sabiq rukan Parliament Ram Singh Ahirwar.
Unke paas Bachelor in Philosophy and Masters in English Literature ki degriyan hain. Woh saal 1967 mein Bhartiya Jang Sang ke umidwaar ke tor par Sagar se Lok Sabha ka Election ladey they aur jeet haasil ki thi.

82 sala sabiq rukan parliament Ram Singh aaj bhi har roz kayi Kilometer Cycle chala kar apne apne logon se milney jatay hain. Un ke paas koi Motor Gaadi nahi hai. Ram Singh kehte hain ke ”inhen motor gaadi ki kabhi zaroorat hi mehsoos nahi huwi aur nah hi unhon ney gaadi khareedney ki koshish ki. Is se aap khud andaza laga satke hain ke aaj ke Leader ki hesiyat kiya hai, aur woh kitni doulat jama karte hain, aur yeh shakhs ki kiya haalat hai .

Pichlle dinon Ram Singh ko Lakhwa maar gaya, jis se unhen baat karne mein thodi mushkil hoti hai, Magar Cycle ney ab bhi inka sath nahi chohda. Fursat ke waqt woh Bidi bananey ka kaam kar te hain jis se inhen kuch kamaai ho jati hai.

Yahi nahi, Ram Singh ko rukan parliament ko milney wali apni pansion ko haasil karne mein bhi kaafi mushkilaat jhelne padi. Aur kayi saloon tak jeddo jehad karni padi. Tab kahin ja kar saal 2005 mein pansion ho gayi. Aaj woh siyasat mein sar garam nahi hain, magar mojooda siyasat mein aayi giravat ko dekhte huwe woh kaafi fikar mand hain.

Markaz mein BJP ki hukoomat hai, aur dedh dahai tak riyasat mein bhi BJP ki hukoomat rahi, magar un ki party ney nah to inhen kabhi ahmiyat di aur nah hi un se koi mahswara kiya gaya.

Schedule Cast tabqay se talluq rakhney walay Ram Singh apne rukan parliament ban’ney ki kahani bayan karte huwe kehte hain ” University mein padahi karte they aur sath hi Bidi banakar apni zarurten pori karte they. Isi douran Jang Sang ney Sagar Lok Sabha halqa se umeedwaar bana diya, aur woh intekhab jeet gaye .

Ram Singh ki biwi Raj Rani kehti hain ke deegar saholaten to dur mujhe aur mere Shohar ko parliament ki pansion haasil karne ke liye kayi saloon tak diqaton ka saamna karna pada. ab isi pension se guzara hota hai.

Ram Singh ke padosi o deegar log kehte hain ke Ram Singh dosray Leadron se allag hain. Woh aisay Leader nahi hain ke ek   baar rukan parliament baney aur sabhi saholaten haasil kar liye, woh ek   seedhay sadhe aur saaf maan walay insaan hain. un ko dekh kar lagta hi nahi ke woh kabhi rukan parliament baney they. Cycle par atay jatay hain, aur Bidi banakar apna guzara kar te hain.

Sach hai aaj ke zamane mein jahan Leaderi ko khidmat ka nahi balkay doulat kamaney ka zariya samgha jata hai. Aur jo ek   baar badey ohday par faayz hota hai woh dhair sa maal o doulat jama kar ke aish ki zindagi jeeta hai, magar kuch log itney khuddar aur saadgi pasand hotay hain ke bhallay hi woh kisi bhi badey maqam ko haasil kar len, un mein bad laoo nahi aata.

Is waqea se yeh baat wazeh ho jati hai ke BJP ney hamesha se hi apni party ke Senior Leadron ko nazar andaaz kiya hai, aur un ko ahmiyat nahi di hai. Jis ki zindah misaal Ram Singh hai jo rukan parliament bhi reh chuke hain lekin party ney inhen itna dar kinar kar diya ke woh aaj ek   ghum nami aur kasam pursi ki zindagi jeeney par majaboor hain.

Is ke ilawa haliya dinon ki hi baat le lijiye, BJP ke 2 Senior Leadron Lal Krishna Advani aur Murli Manohar Joshi ko party ka ticket nahi diya gaya. Aur inhen kisi bhi ohday ke qabil nahi samjha gaya. uskay ilawa un dinon BJP ke kayi naamwar Leader BJP ki aala qayadat ke faislon se naraaz hain. Ab anay wala waqt hi betaye ga ke un naraazgiyon ke beech BJP ka kiya hashar hoga.