Sunday, April 28, 2024
HomeSliderSabiq MP Kavitha ne Bhai KT Rama Rao ko Rakhi bandhi

Sabiq MP Kavitha ne Bhai KT Rama Rao ko Rakhi bandhi

Hyderabad: Sabiq MP Nizamabad ( Telangana ) ke Kavitha ne apne Bhai-o-wazeer baldi nazam-o-wansaq ke KT Rama Rao ko Raksha Bandhan ke mauqa par Pragati Bhavan mein Rakhi bandhi aur mithai khilai. Baad azan unhoun ny rukan parliment Santosh kumar ko bhi Rakhi bandhi aur un ko Mubarakbaad pesh ki. Reyasti wazeer Satyavati Rathod,  G.Sunita aur deegar khawateen ny KT Rama Rao ko Rakhi Bandhi jo hukmaran jamaat TRS ke karguzar sadar hain. Is mauqa par Rathod ne kaha ke ek ek azeem tehwar hai jis mein khawateen, Apne bhaieyon ke sath apni mohabbat aur atot wabastagi ka izhaar karti hain.

Hukmaran jamaat TRS ne Raksha Bandhan ki taqreeb ki tasaveer ko post kiya jo Pragati Bhavan mein munaqqid huvi thi. KT Rama Rao ne apne Twitter Handle ke zareya un posts ko ReTwit kiya. Barsar-eqtedar jamaat TRS shoba khawateen ne wazeer Finance Harish Rao ko Rakhi bandhi jinhon ne is mauqa par riyasat ke awam ko Rakhi ki mubarakbaad pesh ki. Isi terhan Prashant Reddy ne bhi riyasat ke awam ko Mubarakbaad pesh ki aur kaha kay ek tehwar bhai, Behan ki wabastagi ki alamat hai. Unhoun ne tamam bhaiyon aur behnoon par zor diya ke wo is tehwar ko corona ke pesh-e-nazar hukoomat ke usoolon ke mutabiq manayeen. Isi douran Telugu Films ki kayi ahem shaksiaat ney bhi Twit karte hue is tehwar ki mubarakbaad pesh ki.