Wednesday, May 7, 2025
HomeIndiaSabarimala aur Rafale maamla par Supreme court ka jummerat ko faisla

Sabarimala aur Rafale maamla par Supreme court ka jummerat ko faisla

New Delhi: Supreme court Sabarimala aur Rafale soda maamloun mein dair nazar sani darkhwastoun par jummeraat ko faisla sunayega. Supreme court ki Website par 2 alag alag notice jari karkay dono mamlaat ko faisla ke liye kal darj kiye jaaney ki ittila di gayi hai.

Chief Justice Ranjan Gogoi ki sadarat wali 5 rukni aaeni bench Sabarimala mandir mein khawateen ki rasai ki ijazat ke hukum ke khilaaf dair nazar sani darkhwast par faisla sunayegi.

Chief justice ki qayadat wali 3 rukni bench Rafale ladaka tayyarah moahida maamla ki azadana tehqiqaat na karwaye jaaney ke faisla ke khilaaf sabiq wazeer-e-khazana yashwant sinha aur deegar ki nazar sani ki darkhwast par faisla degi. is bench mein justice sanjay kishan aur justice KM joseph shaamil hain.

Iske alawa hindustan khasosan dar-ul-hakoomat Delhi aur aas paas ke ilaaqon mein fazai aloodgi ke khatarnaak satah tak pohanchanay ke paish-e-nazar Supreme court ne markazi hukoomat ko Hydrogen par mabni eendhan ke istemaal ka imkaan talaash karne ki Hidayat di hai. chief justice ranjan gogoi ki sadarat wali bench ne aloodgi ke khatarnaak satah par pohanchanay par azkhud notice letay hue markaz ko yeh Salah di. adalat ne kaha ke mulk mein, khusosan qaumi dar-ul-hakoomat Dehli mein aloodgi ki satah khatarnaak hadd tak pohanch gayi hai. is par qaboo panay ke liye markaz ko hal talaash karna chahiye.

Markazi ki janib se solestor general tushar mehta ne kaha ke hukoomat technology aur deegar iqdamaat ke saharay is silsilay mein pukhta intizam karne ko yakheeni banayegi. unhon ne kaha ke Aala ikhtyarati committee takneeki ifadiyat ke silsilay mein mutalea karkay report tayyar karegi. Supreme court ne is muamlay mein 3 decemeber tak report talabb ki hai. –YTN STAFF