Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaSabari Mala mein khawateen daakhil hosaktin: S C

Sabari Mala mein khawateen daakhil hosaktin: S C

Bhagwan se lagaoo Biological nahi. Tamam umar ki khawateen Mandir mein daakhil hosakti hain. Qabal azeen Mandir ke ihata mein haiz ki haamil khawateen jin ki umrein 10 taa 50 baras ke darmiyan hoti hain unhen dakhila nahi diya jata tha.

New Delhi. Supreme Court ke aik tareekh saaz faisla mein riyasat Kerala ke Sabari Mala Mandir mein tamam Umar ki khawateen ko dakhila ki ijazat dey di gayi. Mulk mein kayi aisay Temples hain jin mein sadiyon se koi aurat daakhil nahi huwi hai. Un Mandiron mein Kerala ka mashhoor Mandir ‘Sabari Mala’ bhi shaamil tha. Supreme Court ney khawateen ke is Mandir mein dakhla par barson se aayed pabandi khatam kar di. Chief Justice of India Mr. Justice Deepak Misra ki zair e qayadat paanch rukni aaeni bench ney is maamla par samaat ke ekhtetaam par 1st August ko mehfooz kiye gaye adalati faisla ko sunaya, jis mein adalat ney Mandir mein khawateen ke dakhilay par sadiyon se ayed pabandi ko khatam kardiya. Chief Justice ney faisla sunatay huwe kaha ke ibadat karne ka haq tamam aqeedat mandoon ko diya jata hai aur sanaf (gender) ki buniyaad par is mein koi tafreeq nahi ki ja sakti. Paanch jajon mein aik Judge ney faisla se ikhtelaaf kiya. Chief Justice aur Mr. Justice A.M Khanwelkar ney chaar jajon ka faisla tehreer kiya. Qabal azeen aisi aurtain jo 10 taa 50 baras Umar ki hoti hain aur jinhein haiz aata hai un par Mandir ke ihata mein daakhil honey par imtenaa tha. Yeh aqeedah hai ke Mandir mein jin ki Moorti aistaadah hai woh Ayyappa Barhamchari thae. Chief Justice ney faisla padh kar sunatay huwe kaha ke aurtain kisi bhi ayetbar se mardon se haqeer nahi hain. Aik taraf aurton ki deviyon ke taur par pooja ki jati hai lekin doosri taraf un par thedidaat aayed hain. Bhagwan se talluq ki tauzeeh hayatiati o jismani saakht ki buniyaad par nahi ki ja sakti. Chief Justice ney kaha kay muqaddas jagah par aurton par dakhila par pabandi jinsi tafreeq hai. Unhon ney kaha ke 10-50 baras ke group ki khawateen ko dakhila se rokay rakhnay ki riwayat ko laazmi mazhabi riwayat tasleem nahi kiya ja sakta. Aqeedat, tafreeq par mabni nahi hosakti. Bhakti mein masawaat par pidrana tasawwur ko thopa nahi ja sakta. Mazhab bunyadi taur par bhakti se marboot tarz e hayaat hai. Sabarimala ki riwayat Hindu khawateen ke huqooq ke khilaaf hai. Justice Chandrachud ney kaha ke khawateen ko rokay rakhna aazdi, Waqar aur masawaat ke haq ki khilaaf warzi hai. Khawateen ko mehez is liye mahroom rakhna ke inhen haiz aata hai bilkuliya ghair dastoori hai.