Tuesday, May 14, 2024
HomeAjaayeb wo GaraayebSaas se badtameezi par dulhan ko shadi ke din hi baaraatayon ke...

Saas se badtameezi par dulhan ko shadi ke din hi baaraatayon ke samnay Talaq

Cairo: duniya bhar mein Talaq ke waqeat mein izafah ho raha hai aur is ke sad-e-baab ke liye sakht se sakht qanoon bhi banaye jarahay hain lekin is ke bawajood aeye din Talaq ke aisay waqeat runuma ho rahay hain jis ny sochnay par majaboor kardiya hai ke biwi haq par thi ya shohar ka faisla durust tha. aisa hi aik waqea misar mein paish aaya jahan dulhy ny maa se behtar sulooq nah karne par dulhan ko baration ke samnay hi Talaq day di .

misar mein aik shehri shadi ki taqreeb mein tasweer kashi ke douran dulhan ko Talaq day kar barat wapas le gaya. report ke mutabiq nawahi ilaqay mein nojawan dulah ny 28 sala dulhan ko yeh keh kar baration ke samnay Talaq day di ke tum ny meri maa ko zabaan charai hai. dulah apni barat wapas le gaya jab ke dulhan ki walida ki haalat ghair ho gayi .

Misri dulhan ny al bayan akhbar ke numainday se kaha ke  shohar ny mera muaqqaf janay baghair hi mujhe Talaq de diya, mein un se rabita karne ki koshish kar rahi hon lekin koi jawab masool nahi ho raha. doosri janib dulah ny muaqqaf ikhtiyar kya ke maa se badtameezi ko kisi soorat bardasht nahi karoon ga, mein ny Talaq de diya hai aur ab woh mehez mohar ki raqam ke liye mujh se rabita karne ki koshish kar rahi hai jis ke liye usay adalat ke dhakkay khanay parrin ge. dulah ki janib se dotok jawab milnay par dulhan ny bhi adalat mein muqadma daraj diya jis mein muaqqaf akhtyarkya gaya ke yeh ensaan zindagi guzaarne ke Laiq nahi. abhi taq adalat ny muqadmay ki samaat ki koi tareekh muqarrar nahi ki .-YTN STAFF