Friday, May 17, 2024
HomeIndiasaal 2022 mein congress ka utar pardesh par qabza hoga

saal 2022 mein congress ka utar pardesh par qabza hoga

kashi nagar: Uttar Pradesh mein hue assembly zimni intikhabaat mein congress ki barhti awaami maqboliat se hosla afzaa congress ke reyasti saddar ajay kumar lallu naay daawa kiya hai ke saal 2022 ke assembly intikhabaat congress saada aksariyat haasil kar ke riyasat mein apni hukoomat banaye gi. muqami rukan assembly naay kaha ke awam congress ki taraf umeed bhari nigahon se dekh rahay hain. congress hi wahid aisi party hai jo mazhab, zaat ki bunyaad par tafreeq nahi karti .

tanzeem se le kar hukoomat mein hissa daari tak sabhi tabqaat ka poora khayaal rakhajata  hai. unhon nay kaha ke saal 2022 mein riyasat ka iqtedar congress ke hathon mein hoga. unhon nay kaha ke awam tabdeeli ke khwaahan hain. congress ki awaami mein barhti maqboliat se BJP ke ilawa samaaj waadi party aur BSP ke log hawaas bakhta hain. reyasti saddar nay kaha ke mulk mein tabdeeli ki lehar chal rahi hai. do reyaston ki assembly intikhabaat ke nataij nay tabdeeli ka wazeh pegham diya hai .

riyasat mein congress ki hukoomat bani to band-pari fiktryon ko dobarah khol kar ke nojawan ko rozgaar dastyab karwaya jaye ga. unhon ne kaha ke prinka gandhi ki qayadat mein congress se kaafi tadaad mein nojawan munsalik ho rahay hain. yeh tabdeeli ki janib wazeh ishara hai .