Friday, May 3, 2024
HomeHyderabadRythu Bazaar mein 40 Rupay fi kelo farokht ki jaye gi Pyaaz

Rythu Bazaar mein 40 Rupay fi kelo farokht ki jaye gi Pyaaz

Hyderabad: Sahi aur mayaari pyaaz ki qeemat 4000 Rupay fi Guintal se badh kar 8000 Rupay hogayi hai, Aur dosray number quality  ki pyaaz 3,000 Rupay se 6,000 Rupay fi quintal ho gayi hai. Reyasti hukoomat ne market mein qeematoun mein istehkaam laane ke liye ki pyaaz 40 Rupay fi kelo gram par farham ka faisla kiya hai, Jis par taajiroun ne ittafaq kiya hai. Mehakma marketing ke zareya taajiroun ko naqal-o-hamal ke akhrajaat bardaasht kiye jayen ge.

Agricalture market ke mutabiq, Reyasti hukoomat ne ibtidayi tor par 27 November se 2 Rhytu Bazaar yani Suroor Nagar aur Mehdipatnam ko 2 metric tons ke hisaab se pyaaz supply karne ka faisla kiya. Maang ko dekhnay ke baad, Usay deegar Rhytu bazaaroun tak badhaya jaye ga. Dono judwaa shehroun mein Aadhaar Card dekh kar, Ek alehda Stall ke zareya sarfeen ko har ek ko ek kelo gram tak pyaaz farokht jaye gi. Aur pyaaz rozana shaam 4 bajey se shaam 7 bajey tak farokht ki jaye gi. -YTN STAFF