Dubai : Russia aur UAE ne 1.4 arab dollar maliyat ke muahiday kiye hain. dono mumalik ne atomi tawanai ke pur-aman istemaal se mutaliq mafahmati yad-dasht par bhi dastakhat kardiye.
UAE ke khabar-rasan idaray ke mutabiq roosi saddar vladimir putin aur walii ehad abu dhabi aur amarati afwaj ke naib sarbarah aala Sheikh Mohammad bin zayd al neyhan ne muzakaraat kiye. roosi saddar Saudi arab se UAE ke doray par abozbi pohanche hain.
Dono rehnumaoun ne qasr ul watan mein muzakaraat kiye. Russia aur amarat ke darmiyan tamam shobo mein har satah par taawun aur dosti ke rishtoun ko farogh denay ke tareeqon par tabadlah khayaal kiya gaya. roosi saddar aur Sheikh ne ilaqai wo bain ul aqwami tabdeelion khusosan khaleej arab aur mashriq wasti ki taaza sorat-e-haal par baat cheet ki. siyasi, iqtisadi wo aman wo Amaan ke masail zair behas aaye.
Is mauqa par Sheikh Mohammad bin zayed ne kaha UAE aur Russia ke taluqaat tareekhi hain. dono ke dostana taluqaat se tamam shobo mein dono mulk faida utha rahay hain. Russia aur UAE ne iqtesadi, maholiyati aur sarmaya-kaari sameit mukhtalif muahedoun aur mafahmati yad-dashton par dastakhat kiye. unka maqsad amarat aur Russia ke darmiyan strategic shiraakat ko mazboot banana aur mushtarqa jad-o-jehad ke naye abwab ka aaghaz hai. roosi saddar putin ne is mauqa par kaha ke moscow arab amarat ke sath taawun ke farogh ke liye koshan hai aur rahega. dono mulkon ke taluqaat musalsal behtar ho rahay hain. dono mulk siyasi muzakaraat jari rakhay hue hain aur khittay ki tabdeelion ki baabat ek-jahti paeda kar rahay hain. –YTN STAFF