Sunday, May 12, 2024
HomeSliderRukan-e-parliment tamanna nusrat ki imthehaan mein jaal saazi, university se bar-tarf

Rukan-e-parliment tamanna nusrat ki imthehaan mein jaal saazi, university se bar-tarf

Dhaka : Bangladesh mein ek rukan-e-parliment ko imthehaan mein jaal saazi karne ke ilzaam mein university se nikaal diya gaya hai. dhaka mein hukkaam ne kaha ke hukmaran jamaat awaami league ki khatoon rukan-e-parliment tamanna nusrat ne apni jagah apni aath hum shakal khawateen ko imthehaan dene ke liye bithaya.

Hukkaam ke mutabiq tamanna nusrat ne apni jagah 13 imtehanat ke liye apni hum shakloun ko paise bhi ada kiye. yeh scandal is waqt samnay aaya jab ek Bangladeshi TV channel imtihani hall mein daakhil hogaya aur tamanna nusrat ki jagah imthehaan dene wali khatoon ki nishaan dahi kardi jiske baad yeh video viral hogayi.

Yaad rahay ke tamanna nusrat guzashta baras rukan-e-parliment muntakhib hui theen aur woh Bangladesh open university se bachelor of arts ( BA ) ki degree ke liye taleem haasil kar rahi theen. Bangladesh open university ke sarbarah MA Mannan ney khabar rasan agency se kaha ke hum ney tamanna nusrat ko jurm ka irtikaab karne par apni jamia se nikaal diya hai, hum ney university se unka naam bhi kharij kardiya hai. ab woh is university mein dobarah kabhi dakhla haasil nahi kar saken gi.

University ke ek ohdedar ney kaha hai ke rukan-e-parliment ke Muhafiz imthehaan dene wali jaali talbat ko tahaffuz faraham karne ke liye imtihani hall mein moujood they. har koi is baat se aagah bhi tha lekin chunkay tamanna nusrat ek ba-asar khandan se taaluq rakhti hain is liye kisi ney is baray mein ek lafz tak nahi kaha.

Media ney rukan-e-parliment tamanna nusrat ka muaqqaf maloom karne ki koshish ki taham woh jawab dene ke liye dastyab na theen. wazeh rahay ke Bangladesh mein amthanat mein naqal aur sawali parcha afsha honay ke waqeat aam hain jiski wajah se hukkaam ko aksar auqaat imtehanat mansookh karna padte hain. –YTN STAFF