Sunday, May 19, 2024
HomeJurmRTC hadhtal , Bus aur car mein tasadum, 8 zakhmi

RTC hadhtal , Bus aur car mein tasadum, 8 zakhmi

Hyderabad : RTC mulazmeen ki ghair muayana muddat ke liye jari hadhtal  ke baais jahan awam ko masail ka saamna karna padh raha hai wahein khangi driveron ka jo khidmaat haasil ki gayi hain is ke nuqsanaat ka ek manzar Medak mein paish aaya jahan Bus ki takkar se car mein sawaar 8 musafireen zakhmi hogaye.

Tafseelaat ke mutabiq Telangana ke zila Medak mein paish aaye sadak haadsa mein 8 Musafireen zakhmi hogaye. yeh haadsa zila ke Shankarampet ilaqa mein uss waqt pesh aaya jab RTC Bus aur car ki takkar hogayi. zakhmion mein 6 ki haalat tashweesh-naak batayi jarahi hai. un tamam ko ilaaj ke liye dawakhana muntaqil kardiya gaya hai.

Samjha jata hai ke khangi driver Bus chalaraha tha jiske nateeja mein yeh haadsa paish aaya kyunkay RTC mulazmeen hadhtal  kar rahay hain.

Doosri janib Telangana RTC mulazmeen ki JAC ne wazeh kiya ke shaam mein 6 bajey tak duty par rujoo honay RTC mulazmeen ko hukoomat ki janib se di gayi mohlat se khaufzadah honay ki zaroorat nahi hai.

Hadhtal  wapas lainay ka sawal hi paeda nahi hota. JAC ke sadar Ashwatham sameit JAC ke deegar leadron ne Hyderabad ke MJBC mein hadhtal  ki sorat-e-haal ka jaiza liya. unhon ne hukoomat se darkhwast ki hai ke woh hadtali mulazmeen ke mutalibaat ko poora kare. JAC ke leadron ne mukhalif hukoomat naaray baazi ki aur hadhtal  ko kamyaab qarar diya. –YTN STAFF