Wednesday, May 7, 2025
HomeTelanganaRTC Buses mein safar karne se awam khauf zada, RTC ki aamdani...

RTC Buses mein safar karne se awam khauf zada, RTC ki aamdani mein bhadi giravat

Hyderabad: Shehar Hyderabad mein chunkay aeye din coronavirus ke waqeat mein izafah ho raha hai lehaza beshtar shehri apne khandani taqrebaat ko multawi kar rahay hain kyunkay loog safar karne mein hichkecha rahay hain halaank safar ko mehfooz bananay ke liye Buses mein musafiroun ko Sanitizers faraham kiye jarahay hain. Sirf un hi logoun ko jo Mask pehantay hain Bus mein dakhlay ki ijazat hai. Is ke bawajood safar karne ke liye musafiroun ka aetmaad bahaal nahi huwa hai.

RTC 4900 mein se 4500 Buses chala rahi hai jabkay shehar mein peer se Buses ki khidmaat ka bhi aaghaz hogaya hai. APSRTC ne Telangana ke liye Bus khidmaat chalanay ke liye tayari ka izhaar karte huve reyasti hukoomat ko khat likha hai. Lekin reyasti hukoomat intezar aur nigah rakhnay wala rawayya apna rahi hai. Coronavirus phelnay se pehlay RTC Buses mein safar ka tanasub kam hokar 35.37 feesad par aa gaya hai jabkay waba se pehlay musafiren ka tanasub 74 taa 76 feesad huta tha.

Ibtida mein registered safar ka tanasub sirf 28 feesad tha. Ab is mein behtari aayi hai. Rozana RTC ki kamaai guzashta roz 12 crore rupay ke muqablay mein 3.50 crore rupay hogayi hai. Wazeer baraye transport P Ajay Kumar ne kaha ke loog safar karne par raazi nahi hain. Yahi rujhan aglay 2 mahino tak jari rahega. Hyderabad aur deegar daur daraaz maqamat par Buses chalaye nahi jarahi hain. Musafiren ke tanasub mein kami ki ek wajah ye hai. Mojooda mausam shadioun jaisay mukhtalif taqarib ka waqt hai aur ye RTC ke liye aamdani ka mausam hai lekin loog shadi aur deegar taqarib ko multawi kar rahay hain aur agar koi taqreeb ho bhi rahi hai to wo sirf chand afraad ke sath mehdood dairay mein munaqqid horahee hai kyunkay loog coronavirus se mutasir honay se khoof mai hain.