Saturday, May 18, 2024
HomeLatest NewsRTC Buses ki mukammal khidmaat ke liye hukoomat ki ijazat ka intezaar

RTC Buses ki mukammal khidmaat ke liye hukoomat ki ijazat ka intezaar

Hyderabad: Telangana State Road Transport Corporation (TSRTC) ke zareya shehar mein RTC Buses ki khidmaat ko dobarah shuru karne ke hukoomat ke faislay ke muntazir hai jaissa ke Corporation apni Buses ko khidmaat ke liye mukammal tayyar rakhay huve hai. Hyderabad Metro Rail apni khidmaat dobarah shuru karne ke sath RTC hukkaam Buses ki khidmaat ke liye bhi ejazat ki tawaqqa kar rahay hain aur un ke mutabiq woh apni Buses ki safai aur dekh bhaal par tavajja markooz kar rahay hain.

RTC ke Executive Director ( Greater Hyderabad zone ) Venkateswara Rao ne kaha ke woh hukoomat ki janib se khidmaat dobarah shuru karne ke ehkamaat ka intezaar kar rahay hain. unhoun ne kaha hai ke chalne wali Buses ki tadaad aur un mein musafiron ke safar ki gunjaish ki tadaad ka faisla hukoomat kere gi.

Hum rozana 15 minute taq Bus Engine ko chillate hain. Tires ke dabao se bachney ke liye hum Buses ke neechay jack aur wheel disk laga rahay hain. Mileage ke hisaab se tail tabdeel kiya jata hai lekin chunkay Buses taweel arsay se chalti nahi hain lehaza tail ki tabdeeli nahi hogi.

Sirf Greater Hyderabad Zone se hi RTC lockdown se pehlay apne 2800 Buses ki team ke zareya rozana sadhay 3 crore rupay ki aamdani haasil karta tha. City Buses ke ilawa Interstate Buses bhi guzashta 5 mah se Depot taq mehdood hain jis se shoba ko rozana Crore rupiya ka nuqsaan bardast karna padh raha hai.

Tawaqqa ki jarahi hai ke bain reyasti khidmaat ki bahaali se bhi jald hi is ki manzoori mil jaye gi. Unhoun nay kaha ke tamam khidmaat, Musafiron ki hifazat ke liye zaroori ahteyati tadabeer se mutaliq rehnuma usoolon par sakhti se ghhor aur amal kiya jaye ga. Yaar diye ke abhi tak RTC riyasat bhar mein qareeb 3700 Buses chala rahi hai. Un Buses mein super luxury, Deluxe, Express shaamil hain, Jin mein se beshtar Hyderabad se mukhtalif azlaa ke liye chal rahi hain.