Friday, May 9, 2025
HomeSliderRozgaar se wabasta khawateen Telangana mein sab se ziyada

Rozgaar se wabasta khawateen Telangana mein sab se ziyada

Hyderabad: Wizarat shumariyat aur programme par amal daraamad ( MOSPI ) ki ek Report mein inkishaaf kiya gaya hai ke munazzam shobay samait mulk mein kaam karne wali khawateen mein Telangana mein sab se ziyada khawateen hain. Is report ke mutabiq riyasat mein 15-59 saal ki omar mein taqreeban 46 feesad khawateen apne din ka ek hissa rozgaar aur is se mutaliqa sar garmion mein sirf karti hain.

Qaumi satah par yeh tadaad sirf 21.7 feesad hai. Is report mein un khawateen ki feesad ke darmiyan bhi kaafi farq ki nishandahi ki gayi hai jo apne din ka kuch hissa dehi aur shehri ilaqon mein mulazimat par guzarti hain. Jabkay dehi Telangana mein taqreeban 57 feesad khawateen apne din ka kuch hissa rozgaar se mutaliq sar garmion mein sirf karti hain, Riyasat ke shehri ilaqon mein yeh sirf 30.5 feesad hai.

Khandan ke afraad ki dekh bhaal karne samait, Baghair muawza kaam ki miqdaar mein bohat geherai se farq hai. Is report ke mutabiq Telangana ki khawateen ( 15-59 saal ) rozana gharelo wabasta sar garmion mein ostan 425 minute guzarti hain, Mard ( 15-59 saal ) 534 minute guzartay hain. Taham, Jab ghar mein bulaa muawza kaam karne ki baat aati hai to riyasat ki khawateen din mein 252 minute ghar mein ghair ujrat gharelo khidmaat faraham karne mein sirf karti hain jabkay mard sirf 88 minute hi gharelu kaam kaaj karte hain.

Telangana mein sab se ziyada feesad afraad ( mard aur khawateen ) hain jo rozgaar se mutaliqa sar garmion par waqt guzartay hain, Is baat ka ishara karte hain ke riyasat mein mulazimat ka manzar baqi mulk se behtar hai. Report ke mutabiq, 15-59 saal ki omar mein 62.4 feesad afraad roz maraah se wabasta sar garmion par apne din ka ek hissa qaumi ost ke muqablay mein 46.3 feesad kharch karte hain. Yeh tadaad dehi Telangana mein 69 feesad aur shehri ilaqon mein 53.5 feesad hai.

Markazi wizarat ki report ke mutabiq Telangana mein System Of National Accounts ( SNA ) products mein shaamil afraad ( 15-59 saal ) mein sab se ziyada feesad ( 63.5 feesad ) hai. Jin mein mard 70.5 feesad aur khawateen 54.4 feesad hain. SNA products mein Corporation, Sarkari, Ghair munafe bakhash idaron aur gharelo idaron mein rozgaar bhi shaamil hai jahan samaan tayyar kiya jata hai.