Wednesday, May 1, 2024
HomeTrending NewsRoos par Vaccine chori karne ka Americi aur bartania ilzaam

Roos par Vaccine chori karne ka Americi aur bartania ilzaam

New York: America, Bartania aur Canada ne Roos par coronavirus ki vaccine se mutaliq tehqiqati mawaad churanay ki koshish ka ilzaam lagaya hai. Khabar rasan idaray ke mutabiq Vaccine ke hawalay se misbet pesh raft guzashta roz samnay aayi thi jab Oxford University ne daawa kiya tha ke is ki tayyar kardah vaccine corona ke khilaaf durust mudafati rad-e-amal haasil karne mein kamyaab ho gayi hai, Jo corona se bachao mein madadgaar saabit hogi.

Is elaan ke chand ghantoun baad hi Bartanwi National Cyber Security Center ney kaha ke APT 29 nami Hacking giroh ney Bartanwi Laboratory ko jasoosi ka hadaf banaya hai jo coronavirus par tahaqeeq kar rahi thi. Cyber Security Center ney daawa kiya hai ke is Hacking group ka maqsad qeemti Antigen Properly chori karna tha. Center ney mazeed kaha hai ke inhen 95 feesad se ziyada yaqeen hai ke Hacking giroh Roosi khufia Agency ka hissa hai jis ka maqsad corona ki vaccine se mutaliq tahaqeeq par maloomat jama karna tha.

America, Canada aur Bartania ne mushtarqa security Advisory mein Roos ko Hacking ka zimma daar thehraya hai. Moscow ne un ilzamaat ki tardeed karte huve kaha ke Hacking ki koshisho se Roos ka koi talluq nahi hai. Yaad rahay ke 2 roz qabal Roos ki wizarat difaa ne coronavirus ki mehfooz vaccine Clinical Trials ke baad tayyar karne ka daawa kiya tha. Media ke mutabiq Roosi wizarat difaa ne kaha tha ke coronavirus se mutaliq vaccine ke tehqiqati tajarbay mein 18 raza karoun ne hissa liya tha jo baghair kisi pechidgioun ke Discharge kar diye gaye they.

Wizarat difaa ne kaha ke raza karoun mein se kisi par bhi vaccine ke manfi asraat muratab nahi hue, Nah sahet ke hawalay se koi shikayat aayi, Aur nah hi koi aur paicheedgi samnay aayi hai. Wizarat difaa ki janib se jari bayan mein kaha gaya tha ke Clinical Trials par mabni nataij ki wajah se yaqeen se kaha ja sakta hai ke vaccine mareezoun ke istemaal ke liye mehfooz hai.

aalmi waba se ab taq duniya bhar mein 5 laakh 88 hazaar afraad halaak jabkay aik crore se ziyada mutasir ho chuke hain. guzashta saal decemeber mein photnay wali is waba se aalmi maeeshat ko be had nuqsaan pouncha hai .