Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsRoos ne apna allag Internet bana liya

Roos ne apna allag Internet bana liya

Moscow: Roos ne Internet khidmaat ko mumkina cyber hamloun se bachanay ke liye apne Internet system ke hawalay se tajarbay kiye hain. ye tajarbay November mein ban’nay walay is qanoon ke tehat kiye gaye hain jis ke mutabiq bairooni mumulk se anay wali Internet traffic ko Roos mein dekhnay se roka ja sakay. Naqideen ke khayaal mein is qanoon Cersorship ko farogh mileyga aur Roos aalmi satah par tanha ho jayega.

Is mutanazia Internet qanoon ke tehat Roos ki Internet Traffic ko aalmi suroor se alehda kar diya jayega, Taham Roosi wizarat muwasilat ne is baat ki tardeed ki hai ke Roosi Internet ko duniya se allag kiya ja raha hai aur is tajarbay se aam sarfeen par koi farq nahi pade ga.

Francesi khabar rasan idaray ke mutabiq Deputy Minister muwasilat Alex Socolo ne kaha ke is tajarbay ka maqsad Roos mein Internet services ko kisi nagehani sorat-e-haal mein bahaal rakhna hai. unhoun ne kaha ke hamara kaam is baat ko yakeeni banana hai ke Internet services bahaal rahen aur is ka maqsad bhi yahi hai.

Roos ke sarkari TV channel Russia-24 ke mutabiq hakkaam guzashta 2 haftoun se tajarbay kar rahay hain jis ke nataij ka elaan ab kiya gaya. Roos ka Internet qanoon jis par sadar Vladimir Putin ne dastakhat kiye they, Roos mein Internet muhayya karne wali compane ko hidaayat deta hai ke data traffic ko Centralized ( markaziyat faraham ) karne ke liye hukoomat ki taraf se diye gaye alaat istemaal karen.

Roosi sadar ne apni salana news conference mein naye Internet qanoon ka difaa karte hue kaha tha ke hukoomat Internet band nahi karne ja rahi, Balkay azad aur khud mukhtar Internet mein bohat farq hai. Is se qabal rawan baras ke aaghaz mein Roos ki hukoomat ne mulk ko aalmi Internet se earzi tor par munqita karne ka faisla kiya tha. Hakkaam ki janib se kaha gaya tha ke Roos mein is waqt aalmi Internet system ke zariye hi Internet khidmaat ko istemaal kiya jata hai albata ab Roos apne mulki domain system ka tajurbah karne ja raha hai.

Roosi hukoomat ke is programme ka maqsad ghair mulki Internet khidmaat faraham karne wali companiyon par inhisaar khatam karna aur Roos ko is hawalay se khud mukhtaar karna hai taakay kisi bhi mumkina cyber hamlay se bhi tahaffuz mil sakay. Is tajarbay ke douran Roos Internet ne apne domain name system ( DNS ), web domain directory aur Andiods par inhisaar karne ka elaan kiya tha. Ye tamam cheeze Internet ke jaal ko yaqini banati hain. –YTN STAFF