Saturday, May 4, 2024
HomeLatest NewsRoos ka Hindustan samait 39 mumalik ke sath fouji taawun moahida

Roos ka Hindustan samait 39 mumalik ke sath fouji taawun moahida

Moscow: Eoos ne guzashta 5 saal ke douran apne 2 riwayati shiraakat daar Hindustan aur China sameit 39 mumalik ke sath fouji taawun ke maahdoun par dastakhat kiye hain. Roosi fouj ke sarkari akhbar ne naib wazeer difaa Alexander Vasilyevich Fomin ka interview shaya kiya jis mein unhoun ne kaha guzashta 5 saal ke douran maghribi Asia, Africa , Asia Pacific, Lateeni America ke 39 fouji taawun ke maahdoun par dastakhat hue hain.

Shumali Behar-o-qayanosi moahida tanzeem ( NATO ) ke sath taluqaat kharab honay ke baad Roosi fouji taawun se mutaliq poochay gaye ek sawal ke jawab mein unhoun ne Hindustan aur China  jaisay 2 riwayati shiraakatdaar ke sath Myanmar, Laos, Vietnam aur Columbia ke sath bhi ustuwar kiye gaye fouji taawun ke baray mein ittila di hai.

Unhoun ne kaha ke Roos Philippine, Srilanka, Thailand aur Indonesia ke sath bhi fouji taawun badha raha hai. Unhoun ne kaha hum Algeria, Angola, Miser, Zambia, Mali, Marrakesh, Mozambique, Nigeria, Soudan aur Uganda jaisay Africi mumalik janoobi Africa o deegar mumalik ke sath sath lateeni America , Argentina, Bolivia, Brazil, Venzella, Cuba, Nicaragua, Pairo aur Chali ke hamrah fouji taawun wasee kar rahay hain.

Wazeh rahay ke 2014 mein maghribi mumalik ne Roos par Ukraine ke dakhli mamlaat mein mudakhlat karne ka ilzaam aayed kiya tha jis ki wajah se 2014 mein Roos ke NATO ke sath taluqaat kharab hogaye they halaank Roos ne sabhi ilzamaat ki tardeed ki hai. –YTN STAFF