Vishakhapatnam : Mehdood over ki cricket ke badshah Rohit Sharma Test mein pehli martaba inning ka aaghaz karne utre aur Not out century banai.
Rohit ke not out 115 aur unki Mayank Agarwal ( not out 84 ) ke sath pehli wicket ke liye 202 runs ki ghair maftooh shiraakat ki badolat Hindustan ne South Africa ke khilaaf barish se mutasir pehlay cricket Test ke pehlay din baghair koi wicket gawaion 202 runs bana liye.
Pehlay Test ke pehlay din 59.1 over ka khel hi mumkin ho saka. barish ki wajah se khel muqarara waqt se kaafi pehlay khatam karna para lekin is douran Rohit ne shandaar century innigs khel kar dikha diya ke woh Test mein bhi badi inning khelne ki salahiyat rakhtay hain. din ke ekhtataam tak Rohit ne 174 gendon par not out 115 runs mein 12 chokay aur paanch chakay lagaye jabkay Mayank ne 183 gendon par not out 84 runs mein 11 chokay aur 2 chhakay lagaye.
Match ka pehla din poori tarhan Rohit ke naam raha jinhon ne opening mein pehli martaba utar kar pehli aur Test matchon ki chothi century banai aur unki Test salahiyat par sawal uthany walay naqideen ko karara jawab diya. Rohit yahan inning ke aaghaz se qabal vijaynagar mein South Africa ke khilaaf practice match mein bator-e-opener sirf do gendoun mein khatah khole baghair out hue they lekin captain virat kohli ne match se qabal Rohit par poora etemad zahir karte hue wazeh kardiya tha ke Rohit pehlay Test mein inning ka aaghaz karenge.
Rohit ne captain kohli aur team intizamia ka etemaad qaim rakha aur apni century inning ke douran kayi record banaye. team intizamia ne is series mein Lokesh Rahul ki jagah mehdood overs ki cricket ke toofani opener Rohit ko azmaane ka faisla kiya aur yeh faisla bilkul durust saabit hua.
32 sala Rohit is century ke sath ab bain ul aqwami cricket ke teeno format ( test, ODI aur T20) mein bator-e-opener century bananay walay cricket tareekh ke pehlay khiladi ban gaye hain. Rohit is dahe mein Test century poori karne se pehlay inning mein 4 chhakay laganay walay pehlay hindustani opener bhi ban gaye hain.
Rohit sabiq captain aur Rahul dravid ke baad aisay dosray hindustani ban gaye hain jinhon ne gharelo maidan par Test ki musalsal 6 inning mein pachaas ya is se ziyada ka score banaya hai. Rohit musalsal 6 inning mein 82, not out 51, not out 102, 65, not out 50 o ray not out 115 bana chuke hain.
Dravid ne 1997-1998 ke douran Test mein hindustaan mein musalsal 6 martaba pachaas se ziyada runs ki inning kheli theen. Rohit ne 2016 se 2019 ke douran yeh kamyabi haasil ki. –YTN STAFF