Dhaka: Rohingya afraad ke masail saari duniya par ayaan hain ke woh kis tarha panah Gazein camps mein zindagi guzaarne ke alawa bunyadi zaroriat ki takmeel ke liye bhi inhen juye sher lana padh raha hai lekin agar koi un tamam mushkil tareen halaat se khud ko bahar nikaltay hue Aala taleem ke liye university ka rukh karta hai to usay university mein is liye dakhla nahi diya ja raha hai kyunkay woh ek Rohingya hai.
Tafseelaat ke mutabiq Bangladesh ki ek university neh Rohingya shanakht ke baad ek Taliba ka dakhla mansookh kardiya. Bangladesh mein panah gazinon ke liye qaim taleemi idaron mein dakhlay ki gunjaish nahi hai. Cox bazaar international university neh report ki tasdeeq karte hue kaha ke 20 sala Rahima Akhtar khushii ka dakhla mansookh kardiya gaya hai.
University intizamia neh kaha hai ke muqami media ki reports se maloom hua tha ke Rahima neh apni Rohingya shanakht chhupa kar jamia mein daakhil liya tha taham muamlay ki tehqiqaat ta haal jari hai. taleemi idaray ke sarbarah neh kaha ke hamaray taleemi idaron mein Rohingya ko dakhla nahi mil sakta kyunkay woh log panah Gazeen hain.
Unhon neh mazeed kaha ke ghair mulki taalib-e-ilm qawaid wo zawabit poooray karne ki shart par padh sakte hain. Rohingya Taliba neh –apne dastawizaat mein zahir kiya ke unhon neh chitta gang ke high school se apni taleem mukammal ki.
Doosri janib Taliba raheemi neh kaha ke Bangladesh ki university ke faislay se woh zehni tor par bohat ziyada muntashir hain. agar koi doosri ladki hoti to ab tak khud ko khatam kar chuki hoti lekin mein soorat-e-haal ka saamna karne ki koshish kar rahi hon.
Alawa azeen unhon neh kaha ke unke walidain rakhain se 1990 mein naqal makani karkay Bangladesh pohanche they aur woh cox bazaar mein paeda huien aur wohi parwarish payi. mein mazeed padhna chahti hon lekin samajh nahi aata yeh kaisay hoga. is zimn Rohingya leader Majeed ullah neh kaha ke Taliba ka dakhla mansookh karne se kuch nahi hoga balkay qabliyat aur salahiyat ka qatal ho jaye ga.
Unhon neh kaha ke myanmar ki riyasat rakhain mein Rohingya musalmanoun ke liye pehlay hi masail intahi mehdood hain. yaad rahay ke august 2017 mein budh aksariyat par mushtamil myanmar ki riyasat rakhain mein fouji karwai ki wajah se 7 laakh se ziyada Rohingya naqal makani karke Bangladesh aagaye they jahan pehlay se hi 2 laakh panah Guzeen campoun mein muqeem they.
Doosri janib Bangladesh mein muqeem Rohingya panah gazinon neh myanmar ki janib se un ko ba-hasiat qoum tasleem karne aur baqaida shanakht diye jaaney ke elaan se qabal –apne mulk wapas loutne se inkaar kardiya. panah gazinon neh kaha hai jab tak insaaf ki farahmi, bain ul aqwami tahaffuz, aur unke haqeeqi gaon aur zamiinon par jaaney ke mutalibaat pooray nahi kardiye jatay woh wapas myanmar nahi jayenge.
Khayaal rahay ke November mein watan wapsi ke liye shuru kiya gaya amal is waqt rokk diya gaya tha jab koi Rohingya myanmar wapas loutne ke liye amaada nahi hua tha. doosri jaan aqwam-e-mutahidda ka idaara baraye panah Guzeen aur deegar imdadi giroh bhi myanmar mein Rohingya ke tahaffuz ke silsilay mein un ki wapsi ke mansoobay ke hawalay se shukook wo shobhat ka shikaar hain. –YTN STAFF