Monday, April 29, 2024
HomeSliderRohingya musalmanoun ke khilaaf fouj jungi juraim ki murtakib : Report

Rohingya musalmanoun ke khilaaf fouj jungi juraim ki murtakib : Report

Naypyidaw: Myanmar ki hukoomat ki janib se qaim kar da khusoosi tafteeshi panel ne Rohingya Muslim baradri ke khilaaf mumkina jungi juraim aur nasal kashi ke ilzamaat ki tafteeshi report mukammal karli hai. Is tafteeshi panel ( ICOE ) ne apni ye report mulki sadar ko pesh kar di hai. August 2017 ki fouji karwai ke baad Rohingya muslim aqliat ke 7 lakh 30 hazaar se zayed afraad apni jaanen bachanay ke liye Bangladesh naqal makani karne par majaboor hogaye they.

Is report ke mutabiq 2017 mein Rohingian riyasat mein Rohingya musalmanoun ke khilaaf ki janay wali fouji karwai ke douran nasal kashi ke qatan thos saboot to nahi miley lekin imkaan mojood hai ke fouji ohdedaroun ne jungi juraim ka irtikaab kiya ho.

Hukoomati commission ne apni tehqeeqi report mein wazeh kiya ke aisi munasib wajohaat mojood hain jin se zahir hota hai ke fouji karwai ke douran aisay kayi kirdaar mojood they jin se mumkina tor par jungi juraim sarzad hue. Report ke mutabiq crack down ke douran un ohdedaron ke ye juraim insani haqooq ki shadeed khilaaf varzyoun mein shumaar hotay hain kyunkay un mein Rohingya abadi ka qatal aur un ke makanaat ko tabah karna shaamil hai.

 2017 ke fouji operation ke baad Rohingya aqliat ke 7 lakh 30 hazaar se zayed afraad naqal makani par majaboor ho gaye they. Tafteeshi panel ne Rohingya askriat pasandoun par ilzaam lagaya ke un ki ishtial angaiz aur jarehana sar garmioun ki wajah se crack down ki zaroorat mehsoos ki gayi thi. Report mein bayan kiya gaya ke Rohingya askriat pasandoun ne 30 police check postoun par hamlay kiye they aur un se majmoi soorat e haal itni kharab hui jo injaamkar dakhli musallah tanaza ka baais bani.

Rohingya muslim community ke khilaaf ki jaane wali 2017 ki fouji karwai ki chhaan bain ke liye mulki hukoomat ne aazaad commission qaim kiya tha, Is ki sadarat Philippine ki khatoon sifaratkar aur naib wazeer kharja ku sonpi gayi thi. Is ke deegar 3 arakeen mein doka talluq Myanmar se jabkay ek Japani sifaratkar they. Ye commission ko 30 July 2018 ko sadaarti farmaan ke tehat qaim kiya gaya tha.

Doosri janib aqwam mutahidda ke mubasireen apni report mein wazeh kar chuke hain ke 2017 ke fouji operation ke douran Rohingya community ki khawateen ke sath ijtimai jinsi zyadtyan ki gayeen aur is tabqay ka qatal aam nasal kashi ki niyat se kiya gaya tha. Isi report mein shaamil hai ke Myanmar ki fouj ne senkdoun dehaat ko jalanay ke baad ek mansoobay ke tehat inhen masmaar kardiya tha. –YTN STAFF