Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsRizwan Sajan, Mutahidda Arab Emirates Ka 10 Sala Visa Haasil Karne...

Rizwan Sajan, Mutahidda Arab Emirates Ka 10 Sala Visa Haasil Karne Walay Pehlay Hindustani

Dubai :  NRI business mean Rizwan Sajan ko mutahidda arab Emirates  ka 10 sala Residential visa faraham kiya gaya hai aur woh yeh aizaz panay walay pehlay NRI hain. Rizwan Dinup groups ke baani hain jo kay 5. 5 Billion dirham maliyati company hai. Rizwan ko mutahidda arab Emirates  mein 10 sala visa ki ajrayi ke darparda wajah unki janib se mutahidda arab Emirates  mein bohat ziyada sarmaya kaari hai aur isi wajah se Emirates  hukoomat ki janib se bairooni sarmaya karon ki hosla afzai ke liye di janay wali mara-aat hain aur Rizwan yeh maraat panay walay pehlay bairooni shakhs ban gaye hain .

Dubai mein general directorate of Residencies and foreigners affairs ( GDRFAR ) ki janib se unke passport par 10 sala visa mohar Sabit kiya gaya hai. yahan is haqeeqat ka tazkara bhi ahem hai ke rizwan ki 1991 mein mutahidda arab Emirates  aamad hui hai aur unhon ne 1993 mein Dunop building material trading ka qiyam amal mein laya hai aur jis waqt unhon ne mazkoorah company qaim ki is waqt unki Umar sirf 30 baras thi .

Chand barson mein hi is company ny kaafi taraqqi ki aur 2018 Dunop group ne tijarat ke 5 badey shobo building material, real state, home décor and Interiors, fashion retail, manufacturing  mein apni khidmaat faraham karte hue taraqqi haasil ki. yaad rah eke mutahidda arab Emirates  ki hukoomat ne guzashta baras elaan kiya tha ke woh 10 sala visa ki sahoolat aese bairooni afraad ko faraham karegi jo yahan sarmaya kaari kar chukay hain taakay yahan sarmaya kaari karne walon ki hosla afzai ki jasakay . -YTN STAFF