Monday, May 20, 2024
HomeSliderRiyasti hukoomat nay Bijlee peda karne wali companiyon ko bohraan mein mubtela...

Riyasti hukoomat nay Bijlee peda karne wali companiyon ko bohraan mein mubtela kar diya hai: Revanth Reddy

Hyderabad: Congress ke rukan Parliament A Revanth Reddy ney hafta ko ilzaam lagaya ke riyasat ke hukmaran Bijlee peda karne wali companiyon ko bohraan mein mubtala kar rahay hain. Aur mutadid maahdon par amal Dur aamad mein be zabtagiyon ke liye retired IAS afsaraan ki taqarruri ki jarahi hai. Unhon ney kaha ke Prabhakar Rao, Raghuram Rao aur Gopal Rao jaisay logon ko bijlee ki pedawar aur taqseem kaar companiyon ka CMD muqarrar kya gaya hai.

Media numaindon se guftagu karte huwe Revanth Reddy ney kaha ke Discoms ney 2014 ke badse 74,000 crore rupiye karz liya hai. Unhon ney TSGENCO ke CMD Prabhakar Rao ke bayan ki wazahat ki ke unho ney sirf 35 crore ka karz liya tha, jo sara sar jhoot hai.

Unhon ney Prabhakar Rao se mutalba kiya ke kya woh logon ko sasti bijlee faraham karen. Unhon ney Prabhakar Rao se poocha ke kya yeh haqeeqat nahi hai ke railway hukkaam ney reyasti hukoomat ke 7.10 rupiye fi unit bijlee farokht karne ke faisla ko mustard kar diya hai.