Hyderabad: Mulk ki pehli khatoon Wazeer-e-Aazam aur Congress ki sabiq sadar Indira Gandhi ke 102 wi yom-e-paidaiesh mangal ko Hyderabad may shandaar andaaz may manayi gayi. riyasat se talluq rakhnay walay Congress qaideen ne Necklace Road par Indira Gandhi ke mujasmay par zabardast kharaaj tehseen pesh kiya. baad may unhoun ne party head quarter, Gandhi bhavan may Indira Gandhi ki tasweer par bhi kharaaj pesh kiya.
CLP rehnuma Mallu Bhatti Vikramarka, PCC ke sabiq Sadar P Hanumatha Rao, Lakmishmaiah Ponnala, TPCC ke car guzaar sadar Kasma kumar, MLA Turupu JayPrakash Reddy, sabiq naib wazeer-e-aala Damodar Raja Narasimha, sabiq wazeer Marri Shashidhar Reddy, City Congress ke sadar aur sabiq rukan Parliment Anjan Kumar yadav, EICC ke Secretary SA Sampath Kumar, EICC ke tarjuman Dasoju Sravan Kumar aur Party ke kayi deegar rehnumao ne Programme may hissa liya. is mauqa par Congress qaideen ne khitaab karte hue mulk ki taraqqi ke liye Indira Gandhi ki khidmaat ko yaad kiya. -YTN STAFF