Sunday, April 20, 2025
HomeOthersHealthRiyadh mein corona ke mareezoun ki dekh bhaal ke liye Robot ki...

Riyadh mein corona ke mareezoun ki dekh bhaal ke liye Robot ki khidmaat

Riyadh: Saudi Arab ke King Salman Hospital Riyadh mein Robot ne corona ke mareezoun ki dekh bhaal ka kaam shuru kardiya aur is Robot ko Dr B2 ka naam diya gaya hai. Tafseelaat ke mutabiq Dr B2 Corona ke mareezoun ki sahet nighdasht par mamoor hai. ye cameroun ki madad se mohlik virus ke mareezoun ke ahwaal mareezoun ki haalat aur alamtoun ki tashkes karleta hai jabkay un ki badalti huvi haalat bhi Record karta rehta hai.

Robot cameron se aaraasta hai. Is mein mareezoun ki jismani haalat Record karne wali Technology se aaraasta khud kar aala nasb hai. Is ka bada faida ye hai ke Coronavirus mareez se Dr ya Nurse ya muawin tibbi amlay mein muntaqil nahi hota. Wizarat sehat ke mutabiq King Salman Hospital mein Robot Dr B2 ka tajurbah kamyaab honay par deegar Hospitaloun mein bi Robot ka istemaal aam kardiya jayega. –YTN STAFF