Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadRiyadh ke Dawa khaney se Hyderabad ke old age home tak, Jabbar...

Riyadh ke Dawa khaney se Hyderabad ke old age home tak, Jabbar ki dukh bhari daastaan

Hyderabad : Ek Umar Raseedah aur bemaar hyderabadi jisay mubaiyana tor par is ke ek-loute betay ney bhi iska sath chodh diya tha jiske nateeja mein pehlay hi usay kayi masail ka saamna tha is par sitam baalaye sitam visay ki meyaad khatam honay ki wajah se Saudi arab mein phansay hue they lekin inhen bil-akhir haal hi mein hindustani sifarat khanaay ney watan wapas bhej diya.

Hyderabad ke murad nagar ke muqeem 61 sala Mohammad Abdul jabbar guzishta 30 saal se Riyadh mein ek engineering ke ek Maroof idaray mein kaam kar raha tha. iski takleef mulazmat ke khatam honay ke baad shuru hui. iski tabiyat kharab hona shuru hogayi aur woh diabetes ki shadeed takleef mein mubtala honay ki wajah se ek se ziyada uzoo ki nakara honay ka bhi shikaar hogaye.

Doosri taraf, iske kafeel se kuch jhagde hue jiski wajah se inhen horob qarar diya gaya aur iske baad iska aqamah khatam hogaya.

Jabbar ko 8 March 2019 ko emergency ward mein Riyadh ke khangi dawakhana mein daakhil kiya gaya tha tab se woh wahan hi reh rahay they. is douran Dawa khaney ka bil 350000 Saudi riyal hogaya tha, jo takhreeban 66 laakh rupay ke barabar hota hai.

Un halaat mein Riyadh ya hyderabad mein un ki dekh bhaal karne aur pareshan haal Jabbar ko koi madad na mili. is muamlay se waaqif afraad ke mutabiq Jabbar ki ek to Riyadh mein qiyam ki meyaad khatam hogayi thi aur unka apna beta unki zimmedaari uthane se gurezan tha. neez, Dawa khaney ki bill ki adaigi se qassar, Jabbar ney khud ko mushkil tareen sorat-e-haal mein paaya. –YTN STAFF