Canberra : Awaami mafaad ke zimn mein sahaafat ki baqa ke liye shuru ki gayi write two no ya maloomat ka haq muhim ke tehat Australia ke tamam akhbarat ne apne safhaat siyah kar diye. yeh muhim darasal Australia mein azaadi sahaafat ko mehdood karne wali qanoon saazi national security law ke khilaaf ehtijaj hai jis ka maqsad Australia mein raazdari ki fiza ko farogh dena aur reporting ko mehdood karna hai.
The age Nami news Website ki report ke mutabiq is muhim mein news cover, The ABC, Nine , CBS , The Guardian aur sahafti tanzeem, The media, entertainment and arts alliance shaamil hain. khayaal rahay ke is tarhan ki muhim ki is se qabal koi misaal nahi millti jo rawan baras June mein Australian federal police ki janib se ABC ke dafatir par chapon aur News cover ki khatoon sahafi anika semitherate ke ghar par chaapay ke baad shuru ki gayi thi. britsh broad casting ( BBC ) ki report mein bataya gaya ke ABC ke daftar par chhapa, Afghan files Nami tehqiqaat series ki wajah se mara gaya tha jis mein, Australia ki khusoosi fouj ki janib se Afghanistan mein ghair qanooni qatal aur ghair ikhlaqi harkaat ke ilzamaat se parda uthaya gaya tha.
Doosri janib sahafi ke ghar chhapa maarne ki wajah australiyai hukoomat ki janib se shehrion ki khufia nigrani ke hawalay se 2018 mein samnay anay wali report thi. report ke mutabiq aaj ka ehtijaj hukoomat par awaami dabao dalne ke liye hai taa ke hassas malomat tak rasai mehdood karne ke qanoon se sahafion ko mustasna qarar diya jaye, maloomat ki azaadi ke munasib nizaam ka nifaz aur rehtik izzat ke muqadmaat ke miyar ko buland kiya jaye.
Australiyai akhbar the Canberra times ki report ke mutabiq media ittehaad ne kaha hai ke 2 dahoun ke douran 60 se zayed qawaneen muta-arif karwaye gaye jis se sahaafat ko jurm aur ghalat kamon ko afsha ya hukoomati faislon ke baray mein ahem maloomat faraham karne par bhi khufia maloomat manzar aam par laane walon ko saza ka mustahiq banadiya gaya. Amrici news Website Huffing post ke mutabiq sahafti idaron ki janib se is muhim par wazeer muwasilat paol fleechar ne fori tor par koi radd-e-amal nahi diya hai taham is se qabal hukoomat keh chuki hai ke azaadi sahaafat ek bunyadi usool hai.
write two no Nami is muhim ke tehat Australia ki mehdood market mein media ki azaadi ke liye un idaron ka ittehaad ghair mamooli iqdaam hai jahan media idaray ishtihari akhrajaat ke liye aik dosray ke sath bhar poor muqabla karte aur mulk ke bilkul mukhtalif naqzh nazar pesh karne ki rivayet rakhtay hain. yeh baat mad-e-nazar rahay ke akhbarat ki ghair mamooli ashaat ke zariye ehtijaj ka yeh pehla mauqa nahi balkay 8 august ko Lebanon ke Maroof angrezi akhbar The daily star ne apne 12 safhaat par koi bhi khabar shaya kiye baghair apna munfarid ehtijaj record karwaya tha. akhbar ne apne munfarid ehtijaj ke zariye mulk mein firqa wariyat jaisay masail aur hukoomat ki janib se kisi bhi muamlay ko hal karne ke liye khaas iqdamaat nah uthaye jane ki janib tavajja mabzol karwai gayi. –YTN STAFF