Riyadh: Saudi Arab may guzishta chand saal se kayi tabdeelian ki gayi hain aur haal hi may dar-ul-hukoomat Riyadh may tareekh may pehli baar kayi haftoun par mabni saqafati melay ka ineqad kiya gaya jo aindah saal January tak jari rahay ga. Riyadh may munaqqid honay walay Riyadh Season nami saqafati melay may pehli martaba khawateen ki Wrestling bhi munaqqid ki gayi thi aur isi saqafati melay may pehli martaba khawateen-o-mard fankaroun ne ek sath muzahiray bhi kiye they.
Riyadh Season se qabal bhi Saudi Arab may kayi ahem kaam pehli martaba hue hain. aur ab jald hi Saudi Arab ki 27 sala Reema Al-Jaffali ek nai tareekh raqam karne ja rahi hain. Reema Al-jaffali jald hi Saudi Arab may honay wali pehli formula Electronic Car Race may shirkat karkay nai tareekh raqam karne ja rahi hain. Reema Al-Jaffali aindah haftay 22 se 23 November ko honay walay formula E-Car ke Electronic Car Race muqablay Jaguar E Pace E Trophy may hissa lainay ja rahi hain.
Mazkoorah Race dar-ul-hukoomat Riyadh ke qareeb tareekhi maqam Diriyah ke sehraa may munaqqid hogi, jis may 12 Teams hissa lengi. Electronic Cars par mabni yeh E Race ka dosra Season hai, is munfarid muqablay ka aaghaz guzashta baras huwa tha aur is ka dosra Season is martaba Saudi Arab may honay ja raha hai.
Electronic Race Car ko Formula E Car ke muqabloun ke tehat Release kiya jata hai aur is may hissa lainay wali tamam Cars Electronic hoti hain. is muqablay may hissa lainay wali Saudi Arab ki 27 sala ladki Reema Al-Jaffali ki ye pehli International Race hogi, is se qabal wo Bartania may E Car Race Tournament may shirkat kar chuki hain. Reema Al-Jaffali ko shuru se hi E car Race muqabloun may hissa lainay ka shoq raha tha aur ab wo aindah haftay pehli martaba tareekh raqam karne ja rahi hain. -YTN STAFF