Tuesday, April 23, 2024
HomeHyderabadRaye dahi ke tanasub mein kami ke bawajood TRS shandaar kamyabi ke...

Raye dahi ke tanasub mein kami ke bawajood TRS shandaar kamyabi ke liye Pur-azm

Hyderabad: Baldi intekhabat mein raye dahi ke tanasub mein tareekhi kami ke bawajood hukmuran jamaat Telangana rashtra samiti ( TRS ) GHMC intikhabaat mein zabardast kamyabi ke liye pur-etemad hai.

Halaanke GHMC intikhabaat mein TRS, BJP ,AIMIM , congress, TDP aur baen baazu ki jamaten maidan mein hain lekin partiyon ke intikhabi andazay bata rahay hain ke asal muqaabla TRS, BJP  aur AIMIM ke darmiyan tha. raye dahi ke baad jo-ke mayoos kin rahi jamaaton ne voting ki feesad ko apne haq mein zahir karna shuru kardiya hai.

TRS zaraye ke mutabiq raye dahi ke tanasub mein kami aam tor par hukmaran jamaat ki himayat karta hai. taham BJP  zaraye ne daawa kiya hai ke record shuda kam feesad bhi un voters ki wajah se tha jo TRS ko ek munasib sabaq sikahnay ke liye aaye thy. AIMIM ne bhi daawa kiya ke kam vote ka yeh rujhan is ke haq mein kaam karega aur is etemaad ka izhaar kiya ke is se puranay shehar mein clean sweep hojayega. dilchasp baat yeh hai ke intikhabi maidan mein shaamil tamam jamaaton ne doosron par bartari haasil karne ka daawa kiya hai. un mein se beshtar paish qiyaasi, qiyaas araiyo, khwahish mandana soch, ghair rasmi surway aur mutassbana party kaarkunon par mabni hain. behar haal hyderabadis ki janib se kam raye dahi ke nateejay mein mutadid tashrihat huien.

Waqtan foqtan kam tadaad mein raye dahi ne hukmaran jamaat ke hamion mein josh wo jazbay ka fuqdaan zahir kiya hai. opposition jamaaton ke hamion ka bhi yahi haal hai.

Mojooda intikhabaat mein yeh mumkin hai ke corona wabai amraaz ne logon ko vote daalnay se rok rakha ho. raye dahi ke tanasub mein record kami ke mukhtalif nataij nikalay jarahay hain. Mahireen ka daawa hai ke ziyada vote daalnay se kisi khaas party aur kam raye dahi kisi khaas jamaat ke haq mein honge. chahay koi bhi nazriya sahih saabit ho ya ghalat asal faisla to 4 decemeber ko hi maloom hoga jab voton ki ginti ke liye ballot box khole jayenge.