Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadRaye dahi ka aakhri ek ghanta, kayi sawal jawab talab

Raye dahi ka aakhri ek ghanta, kayi sawal jawab talab

Hyderabad: Baldi intikhabaat ke baad mangal ko aadhi raat ko ghair sarkari polling feesad ( 45. 7 ) ke manzar-e-aam par anay ke baad kayi ek sawalaat paeda ho chukay hain aur yeh telangana mein aisa pehli martaba hua hai jahan raye dahi ki feesad mein gayarah ghantay ke baad herat angaiz izafah hua hai.

GHMC intikhabaat mein aakhri ghantay ki polling ke baray mein intikhabi hukkaam ki janib se ghair yakheeni raazdari ne intikhabaat mein hera pheri aur dhandli ke baray mein bakhabar halqon mein qiyaas aaraiyan taiz kar di hain jabkay mangal ke roz subah 7 bajey se shaam 6 bajey tak raye dahi hui thi.

Telangna state election ( TSEC ) ke ohdedaron ne shaam 5 baje tak har ghantay raye dahi ka feesad jari kiya hai aur is douran raye dahi mein mamooli izafah aur kami hui thi lekin shaam 6 baje hatmi tor par adaad wo shumaar ka ajra rokkk diya.

Is ke baad TSEC ke ohdedar ghair sarkari adaad wo shumaar ke sath dosray din subah qareeb 12: 30 baje jari kiya jis mein zahir kiya gaya ke aakhri ghantay mein shaam 5 baje se shaam 6 baje ke darmiyan polling ki sharah behtar rahi aur majmoi tor par raye dahi ka tanasub 45 feesad se ziyada hua. dosray din subah 8 baje woh nazar sani shuda ghair sarkari adaad wo shumar jari kiye jis mein raye dahi ka tanasub 46 feesad zahir kiya hai, jiska matlab hai ke aakhri waqt mein 10 feesad izafi raye dahi hui. election commission dosray din ki raat der gaye tak bhi GHMC ki raye dahi ke feesad ke sarkari adaad shumaar jari karne mein nakaam raha taham GHMC commissionaire lokesh kumar ka charshambe ko shaam 6 baje ke lag bhag yeh bayan samnay aaye ke GHMC intikhabaat mein raye dahi ka tanasub 46.55 tha, is par ghhor karte hue baqi ward yani old malakpet mein jumaraat ko dobarah intikhab ka hukum diya gaya hai. Unhon ne kaha ke is martaba voting ki sharah mein mamooli izafah hua jab is ke muqablay mein 2016 ke GHMC intikhabaat mein record 45.27 feesad raha.

Raye dahi ke taqreeban 36 ghanton ke baad woh sarkari adaad wo shumar jari hue jis mein bataya gaya ke polling ki sharah 73.2 feesad hai aur sirf aakhri ghanta mein he 5 feesad se ziyada raye dahi hui hai. Is ke baad oppostion ne intikhabaat mein hera pheri ka ilzaam lagatay hue election commission se shikayat ki lekin kuch nahi hua. siyasi mubasireen aur opposition jamaten herat zada hain ke GHMC intikhabaat mein aakhri ghantay mein 10 feesad se ziyada raye dahi kaisay hosakti hai.