Thursday, April 25, 2024
HomeHyderabadRawan saal mukammal ghar se kaam multi national companies ka goor

Rawan saal mukammal ghar se kaam multi national companies ka goor

Saal 2020 mein beshtar arse ghar se kaam karne ke baad hyderabad mein bohat se mulazmeen ko jald hi daftar mein wapas anay ki umeed thi taham yeh umeed khatam hoti jarahi hai kyunkay covid-19 ke mamlaat mein taizi ke sath izafah ke baad mutadid multi national companies ghar se kaam ke tareeq car mein mazeed tosee karne par majboor hai. Sanat ke zareye ke mutabiq work from home (WFH) ka nizaam saal ke aakhir tak jari rehne ka imkaan hai.

Rawan saal 2021 ke wast tak bohat saari companies dafatir mein 90 taa 100 feesad amlay ke sath kaam karne ki muntazir theen taham covid ke barhatay mamlaat ne is khayaal ko rokkk diya hai. Surate haal ka jaiza lainay ke baad aisa lagta hai ke ziyada tarh companies ke sirf 30 se ​​35 feesad mulazmeen apne daftar ke cabin se kaam karen ge. Hyderabad Software Enterprises Association ke saddar Bharni kumar ne kaha 2022 ke awail tak yeh 60 taa 70 feesad tak mulazmeen ka hissa barh sakta hai. Society braay Cyberabad security council ke secretary general Karishna Yagulane ne companies ko daftar se kaam karne walay mulazmeen ke liye raza karana ikhtiyar dainay ka mahswara dete hue kaha hai ke mutaida companies ne ghar se kaam karne ke bawajood 90-100 feesad kaam ki pidavri ki ittila di hai.

ALSO READ:-Siyasi qaideen ki rallyio mein corona usool yaksar nazar andaaz

Zaraye ne kaha hai corona ke yeh mamlaat rozbroz barhatay jarahay hain aur kisi ko bhi koi khatrah mol nahi lena chahiye. Daftar pounchanay ke liye bohat se mulazmeen apne sathiyon ke sath company se fraham kardah taxi istemaal karte hain. Ghar se kaam karne walay mulazmeen ki tadaad mein bhi izafah karna parre ga. Agarchay ghar se kaam karne walay mulazmeen ne kayi challenges  ka saamna kiya hai lekin is ke bawajood virus par qaboo panay aur mulazmeen ki hifazat ke liye is ke ilawa koi dosra rasta nahi hai.