Monday, April 21, 2025
HomeSliderRawan baras ab tak 10 lakh se ziyada Umrah ke Visa jari...

Rawan baras ab tak 10 lakh se ziyada Umrah ke Visa jari kiye gaye

Mecca Mukarmah : Saudi wizarat hajj-o-Umrah ke mutabiq rawan baras ab tak 10 lakh se ziyada Umrah Visa jari kiye ja chuke hain. November ke dusray haftay tak 8 lakh se ziyada Umrah zaireen Saudi Arab pohanch chuke hain.
Tafseelaat ke mutabiq wizarat Hajj-o-Umrah ne kaha ke filhal waqt Saudi Arab may 8 lakh 30 hazar Umrah  zaireen mojood hain. guzishta barsoun ke muqablay may is saal Umrah zaireen ki tadaad ziyada hai.

Wizarat hajj-o-Umrah ne mazeed kaha hai ke Umrah zaireen badi, behri wo fazai raastoun se pohanch rahay hain. un may se taqreeban 8 lakh fazai rastay, 30 hazaar se zayed buri jabke 3 hazaar samandar ke rastay Saudi Arab aaye.

Ab tak 5 lakh se ziyada Umrah zaireen Mecca Mukkarmah may Umrah aur Madina Munawwara may Masjid-e-Nabavi ki ziyarat kar ke Saudi Arab se wapas ja chuke hain. Wazeh rahay ke Saudi wizarat Hajj-o-Umrah zaireen ko behtareen sahuliyaat faraham kar rahi hai. naye Umrah mausam may guzashta baras ke muqablay may 18 feesad afraad ziyada aayenge. Umrah Companies ko zaireen ka safar yadgar banane ke liye tarbghibat di gayi hain.

wazeh rahay ke guzashta season may 70 lakh se zayed afraad Umrah ke liye Saudi Arab pohanche they. Nai hukoomati policy Saudi vision 2030 ki roshni mein tayyar ki gayi hai. is ka hadaf 2030 tak Umra par aane waloun ki tadaad 3 crore tak pahunchana hai. –YTN STAFF