Monday, April 29, 2024
HomeSliderRashid ne Man Of The Match marhoom walidain ke naam mansoob kardiya

Rashid ne Man Of The Match marhoom walidain ke naam mansoob kardiya

Abu Dhabi: Delhi Capitals ke khilaaf kamyabi ke Hero Sunrisers Hyderabad ke League Spinner Rashid Khan ne apne Man Of The Match Award ko apne marhoom walidain se mansoob kiya hai. Hyderabad ne pehlay batting karte hue 4 wickets par 162 runs banaye. Delhi ki team hadaf se 15 run peechay rahi. Afghanistan ke jaadoyi Spinner ne 4 overs mein 14 runs day kar 3 wickten haasil kee jis par inhen Man Of The Match qaraar diya gaya.

Man Of The Match Award milnay ke baad Rashid Khan ne jazbati lehjey mein kaha ke pichlle daidh saal ka waqfa mere liye bohat mushkil raha. Mein ne teen chaar mah pehlay apne waalid aur maa ku khoh deya hai. Woh meri sab se badi madah then. Yeh Award un dono ke naam, Jab bhi mujhe koi Award milta to meri walida raat bhar mujh se baat karti rehti theen.

Is ke sath unhoun ne kaha ke un par achi karkardagi ka muzahira karne ka koi dabao nahi hai. Rashid ne kaha ke mein kabhi bhi dabao nahi laita ke mujhe achi karkardagi ka muzahira karna hai. Mein apne aap ko pur sukoon rakhta hon aur apni bunyadi baton ko barqarar rakhta hon. Captain ne hamesha mujh par aetmaad kiya hai aur mujhe apne mutabiq bowling ka mauqa faraham kiya hai.

2017 mein IPL mein apne Career ka aaghaz karne walay Afghanistan ke cricketer Rashid Khan 49 matches mein 59 wick le chuke hain. Is match se qabal un ki umdah karkardagi 19 runs ke teen wicket thi. IPL ke khatarnaak bowlers mein se ek Rashid Khan bohat hi kifayati bowler hain. IPL mein un ka Economy rate 6.51 hai. Alawa azeen Sunrisers Hyderabad ke liye Rashid Khan sab se ahem bowler hain kyunkay team kamyabi ke liye bowling shoba mein ziyada tar un par hi inhisaar karti hai jabkay Bhuvneshwar Kumar Fast Bowling ke ahem sutoon hain. Rashid aur Kumar ke ilawa Mohammad khaleel aur Natrajan bhi bowling shoba ke 2 ahem naam hain taham team ka un par ziyada inhisaar nahi hai.