Monday, May 20, 2024
HomeSliderRashid Khan aur Saha ne umeeden baqi rakhen: Warner

Rashid Khan aur Saha ne umeeden baqi rakhen: Warner

Dubai: Delhi Capitals ko shikast dainay ke baad Sunrisers Hyderabad ke Captain David Warner ne is shandaar kamyabi par bowler Rashid Khan aur Opener Wriddhiman Saha ki tareef karte hue kaha hai ke unhoun ne team ki umedon ko roshan kiya. Hyderabad ne IPL match mein Delhi Capitals ko 88 runs ke baday farq se shikast di. Hyderabad ne 219 runs ka score 2 wicket par kiya. Baday score ke dabao mein Dehli match mein barqarar nah reh saki aur 19 overs mein sirf 131 run bana saki.

Warner ne match ke baad kaha ke hum is match se pehlay mayoos thay. Hum aakhri match mein bhi shikast hui thi. Hum ne aalmi miyaar ke 2 hareef bowler Anrich Nortje aur Kagiso Rabada par dabao banaya jis ka hamein faida huwa. Mein ne top order par Score karne ki zimma daari qubool ki. Un halaat mein isi terhan se cricket khelna mushkil hai lehaza hamein har terhan se achi kargardagi ka muzahira karna hai.

Warner ne kaha ke Jonny Bairstow nikalna aur Wriddhiman Saha ko lana ek mushkil faisla tha. Kane Williamson jaisay Batsman ko chouthay number par bhejnay ka faisla bhi sakht tha. Saha ne bohat umdah karkardagi ka muzahira kiya aur Power Play mein un ka Strike rate herat angaiz tha. Bad qismati se un ke paas mamooli zakham hai lekin yeh ziyada tashweesh ki baat nahi hai. Vijay Shankar ko bhi azlaat mein jakran ka masla hai. Warner ne league spinner Rashid Khan ki tareef karte hue kaha ke woh ek behtareen khiladi hain aur woh musalsal wickten le rahay hain aur ziyada runs nahi day rahay hain. Hamein Sharjah mein match khelna hai. Umeed hai ke hum wahan achi karkardagi ka muzahira karen ge.

Sunrisers Hyderabad ne Delhi Capitals ko yak tarfah match mein 88 runs se shikast di thi. Hyderabad ke liye is kamyabi ke Hero Captain David Warner thay jinhon ne 66 runs ki Inning khail kar team ko shandaar aaghaz faraham kiya. Warner ne kaha hai ke Playoff ki daud mein rehne ke liye yeh kamyabi bohat ahem thi. Warner ne kaha ke aglay 2 matchon mein un ka hadaf bada score hoga taakay Playoff mein pounchanay ki umeed baqi rahay. Unhoun ne kaha ke hum Toss jeetnay ke baad bhi pehlay batting ka intikhab karte. Hamein un ke taiz Bowler ku nishana banana tha. Jonny bairstow ko baher rakhnay ka faisla sakht tha lekin hamein laga ke number 4 par Kane Williamson ki zaroorat hai.

Warner Rashid Khan ki karkardagi se bohat khush hain. Warner ne kaha ke Rashid mein wickten lainay ki salahiyat aur kefayati bowling dono hain. Sharjah mein hamein 2 aur Match khailnay hain. Agar hum isi terhan 220 Score karsakte hain to phir kon jaanta hai ke aaya hum Playoff tak jasaktay hain ya nahi. Yeh Tournament mein Sunrisers Hyderabad ki panchwin kamyabi hai aur usay Playoff mein pounchanay ke liye doosri teams ki shikast par bhi inhesar karna hoga.